Interpretation of Quran 56:79 on Purity
“In chapter 56, verse 79, Allah says: 'None shall touch it except the purified.' Does it mean that only those who are clean can touch the Holy Quran? Does it imply that unbelievers who do not maintain cleanliness and women during their period are not allowed to touch or recite the Holy Quran? Please guide me.”Asked by Shahnawaz Zafar, New Delhi
He answers at 0:13 in Q&A · 3 min 41 sec
0:13molana, yeh sawal aaya hai mr. shahnawaz zafar ka, new delhi se. unhon ne likha hai: "In chapter 56, verse number 79, allah kehta hai: 'la yamassuhu illa al mutahharun'." Which means: "Which one shall touch but those who are clean?" Does it mean those who are paak aur clean can only touch the holy quran? in this way, the unbelievers who do not maintain cleanliness and women during their period are not allowed to touch or recite the holy quran. please guide me with your answer. dekhein, yeh is ayat ka koi taluq
1:02is taharat aur pakizgi se nahi hai jis ko hum samajhte hain. yeh ayat farishton ke baray mein hai. yahan insan ka zikr hi nahi hai. aur yeh, aap dekhen is ke alfaaz hain ke "is ko nahi mas karte lekin tahir log". yani aik waqey ka zikr hai, yeh nahi hai ke jab tum quran ko choro to ja kar apne aap ko pak karo. yeh amar ka seigha nahi hai yahan par.
1:36yeh to khabar di gayi hai. is ke alfaaz yeh nahi hain ke "ae musalmano! jab tum quran ko chho to pehle ja kar wuzu karo". yeh to hai hi nahi is mein. yeh khud sakhta bana liya gaya hai. is ka tarjuma ayat ka yeh hai ke "nahi touch karte is ko magar woh log jo ke pak hain". yani already pak hain woh. aisa nahi ke wuzu kar ke apne aap ko pak banate hain woh. yeh sath kuch bhi taaluq is masle se hai jo bana liya gaya hai.
2:14to farishte 24 ghante har waqt pak hi rehte hain, un ke haan napaki koi tasawwur nahi logon mein. to yaad rakhen ke is mein aik khabar di gayi hai, koi hukum nahi diya gaya hai. agar hukum hota to is ke alfaaz doosre hote ke "ae musalmano!" to wohi yahan hota: "ae iman walo! jab tum quran ko chhoona ho, tum ko touch karna ho to pehle ja kar wuzu karo". ya nahao, kuch bhi jo hota. yeh to hai hi nahi is mein.
2:51aap kisi bhi quran ka le lijiye, is ka tarjuma parhiye. tarjume mein kya hai? tarjume mein aik khabar ki baat ki gayi hai, aik waqea jo ho raha hai us ko bataya gaya ke yeh jo quran utarta hai Allah ki taraf se, to farishta lata tha is ko. rasool Allah ke pas quran aata tha farishte ke zariye se. to is mein sirf yeh bataya ke Allah se le kar jo farishte is quran ko nabi tak pohnchte hain, woh bohat hi pak log hain. yani baqi yahan pak wuzu karne ke silsile mein nahi hai. matlab woh
3:32un ke andar nafarmani nahi hai, un ke andar inhiraf nahi hai, Allah ke hukum se khilaf nahi jate woh. woh har lihaz se pakiza log hain. to yeh farishton ke baray mein hai aur is ka tarjuma khud batata hai ke yeh insan ke baray mein nahi hai, farishton ke baray mein hai. isi tarah aap ja kar is ka tarjuma parhiye aap. maulana, yeh sawal mister abdul latif ka aya hai karachi pakistan se. unhon ne likha hai: "sawal pehle mein Allah taala ki bargah mein dua karta hoon ke Allah taala aap ko aur cps ke jumla arkan ko dawat o tabligh ke maidan mein sargaram amal hone ki wajah se akhirat ki kamyabi ata farmaye.