Will righteous non-Muslims enter Paradise?
“Will righteous people among Jews, Muslims, Christians, Hindus etc. go to Paradise, or only those who have knowledge of God?”Asked by عبداللطیف, کراچی
He answers at 3:55 in Q&A · 4 min 6 sec
3:55maulana, yeh sawal mister abdul latif ka aya hai karachi pakistan se. unhon ne likha hai: "sawal pehle mein Allah taala ki bargah mein dua karta hoon ke Allah taala aap ko aur cps ke jumla arkan ko dawat o tabligh ke maidan mein sargaram amal hone ki wajah se akhirat ki kamyabi ata farmaye. mera sawal yeh hai ke kya jannat mein yahoodi, muslimz, christians aur hindu waghera ke salih log jayenge ya sirf Allah ki marifat wale log?" in saranon mein se kahiye aap, yeh nahi ke falan falan groh ka jo aap naam le rahe hain aap, to is se koi taaluq jannat ka nahi hai. jannat ka taaluq hai woh insan jo iman aur amal salih par poora utre. jo quran mein jo alfaaz hain, woh hain iman
4:51aur amal salih. zalik jaza muntazaka, jo apna tazkiya kare. to quran mein jo alfaaz hain, woh iman, amal salih, tazkiya, taqwa yeh alfaaz hain. hum yeh kehte hain ke yeh sari sifatain jo hain, is se bhi pehle aik cheez matloob hai, woh hai marifat. jab tak aap ko Allah ki marifat nahi hoti hai, Allah ki daryaft nahi hoti hai, tab tak yeh sifat abhrenge nahi aap ke andar. to is mein koi shakk nahin ke jannat mein dakhle ki shartein wahi hain:
5:30imaan, amal saleh, taqwa, tazkiya. lekin yeh sab kab hota hai? jab aap ke andar marifat aa gayi ho, Allah ki daryaft ki ho aap ne, Allah ki barhai ko aap ke zehen mein nipha liya ho. jab tak aap Allah ki azmat ko, Allah ki barhai ko daryaft nahin karenge, yeh sifat ubhrenge nahin aap ke andar. isi wajah se marifat ka talluq is se ho jata hai. Maulana Zikwan Nadvi ne Dilli se likha hai: "ek guftagu ke douran aap ne farmaya tha ke Quran mein Yahood o Nasara se talluq ko tark karne ka jo hukum diya gaya hai, woh koi aam hukum nahin. iska talluq us halat se hai jab ke Musalman aur Yahood at war hon. Quran ki mazkoora ayat ka talluq jang ki soorat e haal se hai.
6:32is ko janne ki ilmi buniyad kya hai? yeh buniyad hai shan e nazool. saare ulma mante hain ke Quran ko samajhne ke liye shan e nazool ki riwayatein zaroori hain janna, asbab e nazool. yani background jis ko hum kehte hain. to baqi riwayatein hain aur kuch tafaseer likhi gayi hain inhi riwayaton par le kar, maslan Tafseer Ibn Kathir.
7:02to aap yeh dekhiye in riwayaton ko le kar ke yeh ayatein kab utri theen. to yeh riwayatein utri hain Makka mein nahin, aisi koi ayat Makka mein nahin utri hai. Madani mein utri hain jab ke halat e jang mein qaim ho chuki thi. yeh is tarah ki jadeed ayatein hain, Madani ayatein hain, Makki nahin hain. to ilmi taur par is ko samajhne ka jo zariya hai, wahi hai jo ulma mante hain ke ayaton ko shan e nazool ke samjho, asbab e nazool ke zariye samjho. yani woh ayat kab utri hai, kis mahol mein utri hai, kis masle mein utri hai, is ko jano. to main kahunga ke yeh ayatein Makka mein nahin utri, Madani mein utri hain aur us waqt utri hain jab ke jang chhad chuki thi aur Muslims aur doosre log at war ho chuke the.
7:52is wajah se yeh isi pas manzar mein is ko hum samajh sakte hain, is ko alag kar ke hum nahin samajh sakte. Maulana, agla sawal aaya hai Miss Saira ka Karachi Pakistan se. unhon ne likha hai: "aaj kal poori duniya mein ghair Muslimon mein dawat o tabligh ka kaam CPS team ke ilawa kahin bhi nazar nahin aata.