Why Dawah to Non-Muslims is Limited
“Nowadays, the work of dawah and tabligh among non-Muslims is not seen anywhere except the CPS team. What is the reason for this?”Asked by Sairah, Karachi, Pakistan
He answers at 8:01 in Q&A · 3 min 11 sec
8:01Maulana, agla sawal aaya hai Miss Saira ka Karachi Pakistan se. unhon ne likha hai: "aaj kal poori duniya mein ghair Muslimon mein dawat o tabligh ka kaam CPS team ke ilawa kahin bhi nazar nahin aata. is ki kya wajah hai?" baat yeh hai ke Musalmanon par is daur mein, yeh jo daur aaya hai, is mein Musalmanon par mukhtalif asbab se yeh chha gaya ke hamare khilaf sazishain jari hain, sab log dushman hain hamare, sab Islam ke khilaf sargarmiyan kar rahe hain log. to Musalmanon ke andar mizaj aa gaya takrao ka, ladai bhadai ka.
8:57wahi kar rahe hain Musalman. ya to nafrat karte hain ya tashaddud karte hain ya baqayda takrao karte hain. to yeh jo mizaj aaya hai, yeh sau do sau saal ke andar aaya hai. jab ke Maghribi qaumein ubhren, Europe se aur har jagah un ko dabdaba mila, to Musalmanon mein reaction ke taur par yeh mizaj paida hua. us waqt saare Musalman reaction ki nafsiyat mein jeete hain. to aap ki koshish honi chahiye ke logon ko reaction se nikalein. isi liye main zor deta hoon bahut zyada positive thinking par.
9:37jab tak aap Musalmanon ko reaction ki nafsiyat se azaad nahin karenge, woh baat ko samajh nahin payenge. kyunke reaction ki nafsiyat ka kya nateeja hua hai? ke doosri qaumein aap ko lagti hain dushman, sazishi. to un ko dawat kya denge aap? dawat ke liye zaroori hai ke aap doosri qaumon ko ke khair khwah hon, naseh hon. to khair khwahi to hai nahin. jab khair khwahi nahin hai to wohi hai jo is waqt ho raha hoga. to pehla kaam jo hai yeh hai ke doosri qaumon ko hum
10:10batayen musalmanon ko ke woh madu hain, woh aap ke dushman nahin hain. har haal mein woh madu hain, bil farz woh aap ke khilaaf koi dushmani wali baat kar rahe hon, tab bhi woh aap ke madu hain. tab bhi aap ko dawat dena hai. to chounke saara literature jo aap dekhiye, jitna literature zaban mein tayyar hua hai, chahe woh urdu mein ho, persian mein ho, arabi mein ho, angrezi mein ho, woh sab negative nafsiyat ka tayyar hua hai. sab ko dikhaya gaya hai ke sab dushman hain, sazishi hain, hamare khilaaf sargarmiyan kar rahe hain.
10:48to is literature se zehn bana musalmanon ka, aur media yeh karta hai. to yeh ek bohat hi gehra muamla hai, aur jab tak aap musalmanon ke zehn na badlen, aap daawti kaam nahin ho sakta hai. to pehla kaam hai musalmanon ki soch ko badalna, phir is ke baad daawti kaam hoga. maulana, agla sawal aaya hai mr fazal ameen ka karachi pakistan se. unhon ne likha hai ke "main ek dukandar hoon, baz karobari masail ki wajah se mujhe tension rehta hai.