Maulana Wahiduddin Khan

Explain the reality of wala and bara

“What is the reality of the issue of 'wala' (loyalty) and 'bara' (disassociation)?”Asked by Maulana Inayatullah Umary, Bangalore

He answers at 39:55 in Q&A · 2 min 44 sec

His answer, in his own words
39:55
ji. maulana agla sawal aaya hai maulana inayatullah umri ka bangalore se. unhone likha hai ke wala aur bara ke masle ki haqeeqat kya hai? dekhein aaj kal kuch aisi kitabein likhi gayi hain arbon arab duniya mein is mein woh kehte hain ke wala musalmanon ke liye hai aur bara ghair musalmanon ke liye hai kyunke quran mein aisa aaye hain references ke tum ko musalmanon se wala maani yani gehra taluq mohabbat ka taluq aur bara maani un se judai alahdagi to kya ghair musalmanon se hamein judai distance banana chahiye juda hona chahiye aur sirf musalmanon se hamein taluq rakhna chahiye to yeh aisi kitabein likhi gayi hain kyunke main in kitabon ko galat samajhta hoon aur quran ke hawale galat dete hain
41:07
yani jo quran mein yeh aayatein jo hain woh kisi particular situation ke liye hain us ko aam karte hain woh us ko generalize karte hain woh yani yeh kaha gaya hai mislan ke jab musalman kisi doosre groh se etwar hon to wahan par bara hoga yani hum se taluq distance banana padega kyunke razdari bartni padti hai raaz muntakil ho jate hain to hum ko distance maintain karna padega to woh halat jang ke liye us ko us ko generalize kar diya unhone aur sari duniya ke jo ghair musalman hain un se dori banao yeh bilkul galat thi yeh islam se koi taluq is ka nahi hai arbon ka mamla dekhein ek baat bataoon main aap ko ke sare arbon ka mamla yeh hai ke woh un ka jo islam hai woh sara ka sara falasteen se bana hai israel se bana hai sab isi se le kar ke un ka mind banaya hai chunke unhein nafrat hai yahudiyon se is wajah se woh sare islam ko isi waqt explain karte hain woh sare arab jo hain gehrai ke sath yahudi nafrat mein mubtala hain bas yeh israel se nafrat mein mubtala hain bohat hi gehrai ke sath wahi refer karta hai un ke taqreeron mein un ke mazmoonon mein un ki kitabon mein to arbon ki kitabon ko
42:29
ka aap zariya na banayein aap quran o hadith ko direct padhein to aap islam samajh mein ayega. Maulana agla sawal Pennsylvania se aaya hai Mr. Khawaja Kaleemuddin ka. Unhone likha hai, "Maulana sahib, people mix up between ijtihad and taqwa. They say the way we refrain from doubtful things, we should also refrain from doing ijtihad due to the fear of going wrong. Please clarify between these two matters."
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.