“What is the meaning of deep thinking? Is trying to know the reality of the soul and the mysteries of the universe deep thinking?”Asked by عنایت اللہ عمری, بنگلور
maulana agla sawal lene se pehle aik comment padhna chahte hain jo ammar khan ne likha hai saharanpur se unhon ne likha hai ke I am writing to thank you aur big thank you for distinctly educating us thank you Maulana sahib agla sawal hai mister inayatullah umri ka bangalore se unhon ne likha hai ke deep thinking ka matlab kya hai kya rooh ki haqeeqat aur kainaat ki mysteries ko janne ki koshish deep thinking hai? dekhein deep thinking koi had nahi hai yeh to sari umar ka masla hai har cheez mein aap deep thinking karte rahey
to talash yani ilm ki ki talash haqeeqat ki talash yeh ek life long process hai to koi had is ke nahi aati to aap jis ke paas jitna waqt ho is ke lehaz se woh karega waqt na ho
to itna kijiye itna ke aap ke bas mein hai waqt zyada aap ka hai to karte rahey karte rahey karte rahey is ka koi laga hua formula nahi hai mister shah imran hasan ne dilli se likha hai aap ne apne lecture mein kaha ke ulama society mein ineffective hain parantu aap kehte hain ke al risala mission ko gehrai ke sath sirf ulama hi samajh sakte hain jabke waqai yeh hai ke secular log hi aap ki baaton ko ziyada mante hain. yani mein ne aisa kabhi nahi kaha ke ulama hi samajh sakte hain pata nahi kahan se yeh baat nikli hai sab log samajhte hain quran kitab fitrat hai kitab madrasa nahi hai quran kitab madrasa nahi hai kitab fitrat hai
to fitrat har ek ke paas hai har aadmi samajh sakta hai sirf itni si baat hai jo mein kehta hoon woh kabhi mein ne kaha hoga ke jo technical term hai to woh ulama us se aashna hote hain aur jo aadmi arabi nahi janta madrasa mein pada hua nahi to us technical term se waqif nahi hota woh to us ke liye humein is ko explain karna padta hai to mein chunke madrasa ki taleem meri hui hai to jab mein be takalluf bolta hoon to woh term meri zuban par aane lagte hain jo jis ko mein madrasa ki zindagi mein jo be duaon mein charh gaye the to yeh masla hai yeh achi tarah yaad rakhiye ke khuda ka jo deen hai woh fitri deen hai quran kitab fitrat hai jis aadmi ko bhi allah ne paida kiya fitrat ke sath paida kiya hai woh samajh sakta hai lekin jo lekin aik language gap ka masla aik alag masla hai ab mein chunke madrasa ki taleem ki wajah se meri zuban isi tarah ki ho gayi hai madrasa wali zuban to bohat kafi mein apne ko bachata hoon is se kyunke pehle to bohat mushkil zuban hoti thi meri bohat mushkil hoti thi aaj aaj jo zuban bolta hoon yeh bohat sakht zuban hoti hai
misal ke tor par aap meri kitab shuru zamane ki padhiye al islam woh bari mushkil zuban us ki hai kyunke wahi wahi molviyana zuban jis ko kaha jata hai woh hai us ki to yeh hai language gap ki baat aur yeh nahi ke woh quran kitab madrasa hai aisi koi baat nahi hai mein aisa kabhi mein ne nahi kaha hai to mein koshish karta hoon ke jab koi arabi adha log hain to un ko thoda sa mein doosre dhang se bolta hoon aur arabi adha log hain to zuban doosre dhang se ho jati hai to yeh sara maamla zuban ka hai aur kuch nahi hai. Okay we will end this session now thank you.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.