Explain the meaning of Tabat yada Abi Lahab
“Kindly comment on the reference and the meaning of 'Tabat yada Abi Lahab'.”Asked by Dr. Pajma Siddiqui, Delhi
He answers at 10:19 in Q&A · 3 min 56 sec
10:19maulana, agla sawal hai doctor pajhma siddiqi ka dilli se. unhon ne aap se poocha hai: "kindly comment on the reference and the meaning of tabadida abilahab." tabtida abilahab. dekhiye, makkah mein jis ko kehte hain yaani kamina pan, kamina pan ka kirdaar sirf aik hi tha, abu lahab ka tha. woh to aur log jo thay, jaise abujahal hai, woh sarkashi ki thi us ne.
11:05lekin aik hai sarkashi karna, aik hai kamina pan, kamina ban jana mukhalifat mein. to sarkashi bhi buri cheez hai, lekin abujahal ka naam le kar kahin quran majeed mein nahi aaya hai. lekin abu abu lahab ke bare mein naam le kar bura bataya gaya hai is ko. to is se main jo nateeja pahuncha hoon woh yeh hai ke allah ki nazar mein kamina pan bohat hi buri cheez hai.
11:36sarkashi bhi buri hai, lekin kamina pan is se zyada bura hai. kamina pan kya hai? aib lagana, ilzaam lagana, badnaam karna, yaani kisi ki ko jo character assistant karna waghera. main aik misaal deta hoon aap ko ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne abu lahab bhi aap ka chacha tha, abu talib bhi aap ke chacha thay. to rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne jab nabuwat mili to aap ne wahan par bulaya logon ko. safah jo jo aik chattan thi, wahan par log akhatta hue to aap ne dawat di.
12:14dawat dene ke baad log khamoshi se uth uth ke chale gaye. kisi ne maana nahi, khamoshi se chale gaye. lekin abu talib, woh abu lahab jo tha, abu lahab khada ho ke kya kehta hai? tablak saram saram ama jamaatna ila hadha tera bura ho sara din, isi liye hum ko akhatta kiya tha. yeh jo hai, yeh yeh kamina pan hai, jhooti mukhalifat. to aik hai sarkashi, aik hai jhooti mukhalifat. to ab yeh surah batati hai ke allah ki nazar mein jhooti mukhalifat bohat hi buri cheez hai.
12:53kamina pan, jhooti mukhalifat, ilzaam lagana, aib aib lagana, be buniyad aik character association karna, character assassination. to is surah mein yeh paigham hai, jahan tak main samajhta hoon ke allah ki nazar mein sarkash bilashuba bura hai, lekin kamina insan is se bhi zyada bura hai. kamina insan ki tareef yeh hai ke aap ki mukhalifat mein jhooti baatein kehne lage. yaani dekhiye, abujahal jo tha, mukhalif tha aap ka, kabhi us ne rasool allah par koi jhoota ilzaam nahi lagaya, kabhi nahi. maine kitabon mein kabhi nahi padha ke us ne abujahal, abujahal ne rasool allah par koi jhoota ilzaam lagaya ho. lekin abu abu talib jo tha, yeh abu lahab jo tha, woh kamina pan dikhata tha, jhooti baatein aap ke khilaf, ilzaam tarashi, character assassination waghera.
13:52to yeh bohat hi bara kirdaar hota hai. to yeh is is is is is is surah mein yahi sabak, isi baat ka sabak diya gaya hai ke is se daro ke tumhara anjaam abu lahab ka na ho jaye kahin, agar tum woh tareeqa ikhtiyar karo jo abu lahab ne ikhtiyar kiya tha. maulana, agla sawal misster muhammad adil sahib ka hai dilli se. unhon ne likha hai: "maulana, aap ne kaha ke allah ne insan ko do capacities aik sath jama karne ki salahiyat di hai.