34:17molana, agla sawal srinagar se hai mr riyaz ahmed bhat sahib ka. unhon ne poocha hai: "dawat il Allah ke liye well wishing asal hai, lekin aaj kal ke musalmanon mein madu ke liye well wishal, well wishing ka jazba maujood nahi. is ka sabab kya hai, aur is kami ko kis tarah door kiya jaye?" main samajhta hoon ke is ke zimmedar hamare sare rehnuma hain ke subah sham raat din, jab se printing press aya hai, tab se khaas taur par yeh baat bohat barh gayi hai ke dhoond dhoond kar nikalte hain aisa item: "dekho falan dushmani kar raha hai, dekho falan conspiracy kar raha hai, dekho fulani yeh kar liya, fulani woh kar liya." subah sham yahi akhbaron mein chhapta hai, yeh yeh magazine mein chhapta hai, jalson mein isi ka charcha hota hai.
35:17to yeh jo hain hamare likhne aur bolne wale, yeh asal zimmedar is ke hain. isi ka charcha kiya unhon ne is daur mein. is ke baad agar charcha karen, yaani achhi baaton ka to achha zehn banega. main samajhta hoon ke sab se zyada zimmedar wahi log hain jin ko main kaha karta hoon: "likhne aur bolne wala tabqa, yeh asal zimmedar hain." yaani negative baaton ko phailana, positive baaton ka zikr na karna, is ki wajah se yeh sab baaten hain. molana, agla sawal delhi se hai mr mohammad altafuddin inamdar sahib ka. unhon ne poocha hai ke: "dai ke khaas sifat batayen, aur dai madu se start mein kaise baat karen?"