Is Arabic alone enough to understand Quran?
“We have always heard that understanding Arabic is necessary to understand the Quran. But when we see people living in Makkah and Madinah, it seems that something else is also needed. Please explain.”Asked by Aamer bin Yusuf, Karachi, Pakistan
He answers at 15:52 in Q&A · 3 min 28 sec
15:52maulana, agla sawal aaya hai mister amir bin yusuf ka, karachi pakistan se. unhone likha hai: "hum shuru se yeh sunte chale aaye hain ke arabic language se humein quran ko samajhna zaroori hai. magar aaj kal hum jo makkah aur madinah mein rehne wale logon ko jab dekhte hain to aisa lagta hai ke quran ko samajhne ke liye kuch aur bhi chahiye." is ke baray mein batayein. dekhein, quran mein yeh nahi bataya gaya ke tum agar arabi jaano ge to quran ko samajh lo ge. yeh to logon ka khayal hai. yeh kahin bhi nahi bataya quran majeed mein. agar tum arabi jaano ge to quran ko samajh lo ge. quran mein hai ke tadabbur karo ge to samjho ge. tadabbur, contemplation.
16:43to arabi janna bhi zaroori hai. lekin tarjuma bhi kafi ho sakta hai kisi ke liye. agar woh is ke andar tadabbur ki salahiyat ho. tadabbur ka matlab kya hai? tadabbur ka matlab yeh hai ke ek khule zehan ke sath aadmi parhe. kisi bhi complex ke baghair parhe. baais se free ho kar parhe. jazbat se alag ho kar parhe quran ko. to samajh jaye ga woh. lekin log jeete hain baais mein. tarah tarah ke ta'assubat mein, nafrat mein, jazbat mein. to kya samjhein ge aap?
17:22jaise misal ke tor par log jeete hain yahudiyon se nafrat mein. to jab parhte hain woh quran majeed ki surah fatiha to ghair al maghdoob likhte hote hain ke is se murad yahudi hain. un ke jeete hain isaiyon se nafrat mein. jab parhte hain ghair alzalimeen to samajhte hain is se murad isai hain. yeh quran ko samajhna nahi hai yeh. ya apne mind ko quran mein parhna hai. to aap nafraten liye hue hon, ta'assubat liye hue hon, aur
17:58khud sakhta jazbat mein jeete hon to wohi quran mein parhen ge jo aap mind mein hai. sab se pehle apne mind ko free karna pare ga. tab quran ko samjhen ge aap. arabi janna hergiz hergiz lazmi shart nahi hai. lazmi shart hai apne mind ko free banana. apne mind ko her qism ke ta'assubat, nafrat, aur tarah tarah ke yani khud sakhta soch se apne ko free karna. tab dekhiye arabi zaban ki zaroori is ke liye hai jo scholar banna chahta ho. scholar. to ek hai quran ko samajhna.
18:43ek hai quran ka scholar banna. scholar. yani quran ki buniyad par koi mission chalana chahte hon aap. tab zaroori hai ke aap arabi janiye. yani quran ki buniyad par ek mission uthana chahte hon aap to zaroori hai ke aap arabi janiye. lekin aap simply follow karne ke liye ke saada taur par apni zindagi mein quran ko lane ke liye to bas quran ko parhiye woh ta'assubat se khali ho kar ke. to zaroor quran samajh mein ayega aap ke. maulana, agla sawal aya hai mr sajid ka, hyderabad se. unhon ne likha hai: "shaitan se bachne ke liye hum ko sab se zyada kis cheez par nigah rakhna chahiye?