maulana agla sawal miss saira latif ne kiya hai karachi pakistan se. unhon ne likha hai ke mera sawal yeh hai ke aaj ka insan kyun desperation mein marta hai jabke aaj insan ke paas bepanah daulat hai? is ka jawab to quran mein hai. alhakum-ut-takathur hatta zurtum-ul-maqabir. yani takathur ka mizaj. yani mor aur mor, mor aur mor ka mizaj. to insan ka yeh mizaj mor aur mor ka jo hai yeh sach poochien to jannat ke liye hai. jannat mein aap ko mor aur mor milega. is ko dunya mein chahte hain
apply karna. yahan to mor aur mor nahi mil sakta. yahan to limited hi milega. to takathur jo lafz hai quran majeed mein bohat hi sahi batata hai insan ke yani is mizaj jo insan ke andar hai. takathur ka matlab yahi hota hai ke mor aur mor chahna aur zyada aur zyada ka hiras karna. lafz hiras is ka sahi explanation karta hai. logon ke andar qanaat nahi hai, hiras hai. sara mamla jo hai in do lafzon mein hai. qanaat agar aap ke andar aa jaye qanaat to aap ko sukoon hoga. aur hiras agar rahe to aap hamesha aap isi mein pareshani mein rahenge hatta ke is pareshani mein mar jayenge.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.