Women's kitchen time and Dawah work
“A gentleman said that women spend most of their time in the kitchen. How is it possible for them to do Dawah work and study literature?”Asked by Saira Latif, Karachi, Pakistan
He answers at 28:13 in Q&A · 3 min 38 sec
28:13maulana un ka ek aur sawal hai. unhon ne likha hai ke ek sahib ne kaha ke auraton ka ziyada waqt kitchen mein guzar jata hai. un ke liye daawa work aur literature ka mutala kaise mumkin hai? aap is silsile mein rehnumai farmayein. kitchen ko band kar dein. kya zaroorat hai kitchen mein waqt lagane ki. main aap ko ek ek ek misaal deta hoon haqeeqi misaal. ek sahib mere paas aaye apni biwi ko le kar ke. abhi bilkul ek sachi misaal bata raha hoon. aap chahen ge to mere daftar mein aayein main un ka naam pata telephone number de doon ga.
28:54woh ek madrasa chalate hain. ab madrasay mein bachon ki khana pakta hai. saada khana. to unhon ne bataya ke un ke haan mehman bohat aate hain. biwi jo hai din bhar khane ke intizam mein rehti hai. aur biwi un ki parhi likhi thi. to main ne bohat dinon tak un ko hemoori ki an ki. ke har aadmi ko biwi jo hai Allah gift hoti hai. aap ko jo ek aurat mili hai wo Allah gift hai us ki naqadri kar rahe hain aap. us ko istemal kijiye. main ne kaha aap mehman khali band kijiye. yeh sare mehmaanon ko band kijiye. koi mehmaandari nahin. jo mehman aaye us ko kahiye jaao bahar khao.
29:36to unhon ne kya kiya ? ek bohat zabardast kaam kiya unhon ne. yaani yahan se lootne ke baad yak lakht unhon ne mehmaandari band kar di. kehte hain yeh nahin kiya wo khud apne apna jo khana pakta tha khud apna us ko bhi unhon ne band kar diya. aur unhon ne kaha ke jo madrase mein pakta hai bachon ke liye khana wahi hum bhi khayenge. to madrase ka jo jo matbakh hota hai us se khana aata hai un ke haan paisa dete hain wo.
30:10paisa de kar wo matbakh ka khana lete hain. apna khana pakwate hi nahin. aur mehmaanon se keh diya ke tum bhi ja kar khao aur paisa do. yaani matbakh mein khao aur matbakh mein paisa de kar ke jab tak chaho khate raho. to mehmaanon ko bhi keh diya ja kar madrase mein khao paisa de kar ke. khud apne liye bhi unhon ne yeh kiya ke apna matbakh band kar ke masjid se apna barish khana band kar ke matbakh ke khana lene lage. yeh sachi kahani hai. ab kya hai ke wo miyan biwi dono khoob daawa work kar rahe hain.
30:50apne shahar mein. yaani kitabein parh rahe hain. study ke liye waqt mil gaya kafi un ko. aur daawa work bhi khoob kar rahe hain. to koi yaani zindagi aaj itni bigri hui hai ke koi drastic step lena parega. zindagi aaj itni bigri hui hai. jhooti mehmaandari jhooti family attend karna yeh sab jhooti us ko main kaha karta hoon ideal business. idle befaida sargarmiyan. sab log jo hai aaj kal ke zamane mein ideal business pade hue hain. to aap ko radically apne andar change karna lana parega.
31:28ek lakht band karna parega jis tarah unhon ne band kar diya. aap khoob kaam kar rahe hain. haqeeqat zindagi mein koi rukawat nahin hai. rukawat aap ki soch mein hai. rukawat sirf aap ki soch mein hai. inqalabi ban jaiye soch ke aitbar se to sari rukawat apne aap khatam ho jayegi. maulana yeh sawal aaya hai doha qatar se maulana abdul basit umri ka. unhon ne likha hai ke maulana aap ki kitab ahyae islam mein likha hai ke aaj ka daur khuda parasti versus muqabla insan parasti hai.