Explanation of verifying news from a sinful person
“Please explain the verse: 'O you who believe, if a sinful person brings you news, verify it, lest you unwittingly harm others and then regret what you have done' (Chapter 49, verse 6).”Asked by Sajid Anwar, Delhi
He answers at 42:19 in Q&A · 5 min 1 sec
42:19maulana agla sawal aaya hai mr sajid anwar ka dilli se. woh chahte hain ke quran ki ek ayat ko aap theek se samjha dein. jo ayat hai woh quran mein is tarah aayi hai ke believers of an evil doer bring you a news ascertain the correctness of the report lest you unwittingly harm others and then regret what you have done. this is in chapter 48 verse number 6. yahan woh hai agar jaa ko faasiq bin bin fatabainu. is ka matlab hai ke koi aap is khabar jab milte hain koi negative news. yahan negative news murad hai. to is ki tehqeeq karo. fatabainu tabainu ke mani hain khoob tehqeeq karo khoob pata karo.
43:15khoob is ki scurity karo. yeh nahi ke main suna aur lage baandh kar yeh bilkul galat hai gunah hai yeh. yeh matlab hai is ka. ke quran mein yeh hukum diya gaya hai ke aap ke yeh tareeqa nahi hona chahiye ke koi khabar suni aur phir lage baandh kar doosron se us ko. kyunke khabar batane wala naqis reporting kar sakta hai. kisi bhi qism ki is mein milawat kar sakta hai khabar mein. to aap is ki scurity karein us ko pata karein aur jo bhi zariye hain maslan farz kijiye ke ek shakhs keh raha hai ke kolkatta ke ek aadmi ke bare mein aap ko bata raha hai kuch to telephone kiya hai us ko?
44:00achha farz kijiye ke aap kahein kahan main time hai t elephone karne ka to aap ko kahan woh time hai khabrein phailane ka? yeh khabrein kyun phailate hain aap? misaal ke taur par mere bare mein taqreeban saare mukhalifeen kya karte hain baghair meri kitabon ko padhe hue suni sunai baton par mere bare mein phailate rehte hain. to aap ke liye do option hain. ya to chup rahein ya baqayda tehqeeq kar ke bolein. yeh sirf option nahi hai ke tehqeeq bhi na karein aap bolna bhi shuru kar dein.
44:36aap ko kisi ke bare mein ek negative baat batana hai to aap ko haq nahi hai aap bohat bara gunah karein ge ke bila tehqeeq ke lage bolne us ko. chup reh sakte hain chup rehna jaiz hai. chup rehna to jaiz hai lekin bila tehqeeq ke bolna hargiz jaiz nahi hai. yeh bohat bara hukum hai quran majeed mein. aur hum to isi ka shikar ho rahe hain. hamare itne mukhalifeen hain bila tehqeeq ke hamare khilaf bolte rehte hain. maslan dekhiye ek sahab mere paas aaye ek misaal deta hoon. ek sahab mere paas aaye unhon ne kaha ke aap ka percha nikalte hain mujh ko bataya gaya hai ke is mein dunyavi baatein hoti hain sab.
45:19koi deeni baatein hoti nahi. to main ne kaha achha baithiye. aur jo latest issue tha us ko main ne nikala. main ne kaha is ko dekhiye ek ek waraq ultiye. ek ek mazmoon ko dekhiye. to us mein sara jitna bhi percha tha kisi ne ek ayat par base karta tha kisi ne hadith base karta tha. ya koi sahaba ke is par base karta tha. to maine kaha dekhiye kahan is mein duniyavi baatein hain.
45:49saare aakhirat ki baatein hain jannat ki baatein hain quran ki baatein hain islam ki baatein hain yeh kahan wo? to ek shakhs ne kaha usko aap ne sun liya. to yaad rakhiye suni sunai baaton par usko yani usko lagna bolne lagna usko hadith
46:09mein aata hai kafwa bilmar'e kadhiban an yuhadditha bikulli ma sami'a yani is aadmi ke jhootha hone ke liye yeh baat kafi hai ki jo kuch suna hai usko lage bayan karne. to phir main kahunga ke aap ke sirf do mein option hain. ya to chup rahen. ya to chup rahen. ya bolen tehqeeq kar ke bolen. bila tehqeeq ke bolenge to Allah taala ka zabardast pakad hogi is ki. bahut zyada pakad hogi.
46:41maulana raipur se ek comment aaya hai sawal nahi hai yeh yeh kya hai misster idrees ne aur un ke sath shabana ne jo dekh rahe hain yeh program abhi unhon ne likha hai ke In reply to the question about hesitation in interaction for Dawah work, you just replied, we should not only share what we know but also we should be ready to learn what other person shares
47:08because daawa work is a to way sharing process this is a magical answer and it solves one of the biggest problems of a daawa thanks for the question and thanks for the answer. jazakum Allah. maulana agla sawal aaya hai deli se miss naghma siddiqui ka unhone likha hai you told us to look at problems as challenges as per the creation plan of god can you please elaborate?