Cultural conditioning harms and how to escape it
“Experience shows that every person lives in cultural conditioning. What is the harm of this cultural conditioning, and how can a person extricate himself from it?”Asked by Anas, Delhi
He answers at 50:34 in Man & Paradise · 4 min 8 sec
50:34maulana, agla sawal dilli se hai ans sahib ka. unhon ne likha hai: "tajruba batata hai ke har hath har aadmi cultural conditioning mein jeeta hai. is cultural conditioning ka nuqsan kya hai, aur is cultural conditioning se aadmi apne aap ko kaise nikale?" yeh baat sahi hai ke har aadmi cultural conditioning mein jeeta hai, kyunke jab paida hua to ek culture mein paida hua. paida hote hi us ko ek culture mil jata hai. paida hote hi us ko ek culture mil jata hai. samajhta hoon ke har insaan, har insaan, har insaan ka pehla kaam yeh hai ke woh daryaft kare ke jis culture ko main ne inhe inherit kiya hai,
51:23woh sacha culture hai ya jhoota culture hai, sahi culture hai ya galat culture hai. pehla kaam, kyunke dekhiye, jab jo culture aap ko paida hote hi mile, us mein aap ki conditioning ho jati hai, to bila soche samjhe us us ke aadi ban jate hain aap. to main samajhta hoon ke har insaan ka pehla kaam yeh hai ke woh is baat ko daryaft kare ke jis culture mein parha barha, jis culture mein us ki conditioning ho gayi, jis culture us ki aadat ban gayi, us ka mizaj ban gaya, woh sahi tha ya galat, aur apni is aitbar se apni deconditioning kare. jo aadmi aisa nahin karega, to phir us ko kabhi bhi sachai nahin milegi. woh hamesha haqeeqaton se bekhabar rahega.
52:27maulana, un ka ek aur sawal hai, woh aap se janna chahte hain ke Quran mein parents ki farmanbardari ka hukum diya gaya hai ya husn sulook ka? is ke baray mein bataen. sirf sulook ka, farmanbardari ka nahin. Quran mein falan tote honge. sulook, yani sulook ka matlab kya hai? sulook ka matlab yeh bhi yeh nahin hai ke aap, yani aaj kal jo sulook ke matlab liye jate hain, woh baray nahin hain. sulook ke real need ko poora karna, haqeeqi zaroorat ko poora karna, bas yeh hai sulook.
53:08aaj kal is logon par yeh baat wazeh nahi hai ke ke apne waldein ke baray mein woh un ki sirf yeh zimmedari hai ke woh un ki real need ko poori karein, bas is se zyada nahi. aam taur par mein dekhta hoon, mein koi real need se siwa log is ko samajhte hain sulook. woh har giz har giz aisa nahi hai. jo real need hai, real need, haqeeqi zaroorat, woh aap poora karein to yeh aap, yeh aap ki zimmedari hai. lekin is ke siwa agar maan baap se aap se mutalba karte hain to aap har giz aap ki zimmedari nahi ke is ko aap poora karein. aur balkay mein yeh kahoon ga ke agar aap real need se zyada aap maan baap ke fikrmand hain to woh aap ke liye kya hoga ke aap apni apni dawat ka kaam nahi kar sakein ge, aakhirat ki tayari nahi kar sakein ge, apne deen mein kami karein ge, to apna nuqsan karein ge woh, aur is ka misdaq ban jayein ge.
54:14jo aik hadees hai ke sab se zyada ghaate par woh hai: "man adrak akhiratahu bidunya ghair". jo doosre ki duniya ki khatir apni aakhirat ka nuqsan kar le, is ka case ban jayein ge aap. to behal aap sirf real need ke baghair zimmedar hain, is se zyada ke zimmedar aap nahi hain. maulana, agla sawal hai Dilli se Dr. Tahir Mustafa sahib ka. unhone likha hai: "maulana sahib, IMA surgeon and I don't lie to insurance companies about the patient's illness,