Does planning during prayer indicate lack of khushu?
“There is a hadith that Umar (ra) used to plan battles during his prayer. My question is: Is thinking or having thoughts during prayer a sign of not having khushu' (concentration and humility)?”Asked by Irshad Ali, Rampur
He answers at 29:15 in Changing Reference from War to Peace 10 Aug, 2019 · 2 min 37 sec
29:15Maulana, ek sawal aaya hai Rampur se, Irshad Ali sahib ne kiya hai. unhon ne likha hai, Maulana, ek hadith hai jis mein aaya hai ke Hazrat Umar apni namaz mein jang ki planning kiya karte the. Maulana, mera sawal yeh hai ke namaz ke dauran sochna ya kisi khayalat ka aana kya namaz mein khushu na hone ki alamat hai? kya karte the? galat hai. kya kya kya? kya kehne hain ke aisa mauqa aa gaya ke jang ka masla bhi hai aur namaz bhi padhna hai, to aise mauqe ko unhon ne khoya nahi, is ko istemal kiya. to Allah ne wahin madad kar di.
30:08yeh galat hai ke karte the? nahi, aisa kiya unhon ne? ji to Maulana, isi ko reference bana ke un ka sawal yeh hai ke namaz ke dauran agar koi khayalat aa jayen, to kya is ko yeh kahenge ke namaz mein khushu ki kami hai? khayal to aata hi aata hai. khayal to aata hi aata hai. aisa koi nahi duniya mein jo khayal na aaye. Imam e azam jo kaha jata hai, un ko yani Imam Abu Hanifa, un se poocha gaya ke aap ko khana aa gaya hai aap ka aur namaz ka waqt bhi ho gaya hai,
30:55to aap pehle khana khayenge, pehle namaz padhenge? To unhone kaha ke main is ko pasand karunga ke main khana khaoon, mere dil mein namaz ki yaad rahe. is ke bajaye yeh ke main namaz parhoon aur mere dil mein khana yaad rahe. Maulana, kya khayalat ko khatam kiya ja sakta hai? Namaz nahi, woh ghair unnatural hai, khatam nahi kar sakte aap. woh bhi rahega, woh bhi rahega. Maulana, lekin aksar logon ko lagta hai ke aise khayalat aanay se jo namaz hai, woh poori imaan ke sath nahi hoti hai.
31:36nahi to kam ho jati hai. Nahi to Sahaba ke waqiat bohat hain. Is se khatam karne ki jo condition hai, woh galat hai. woh bhi rahega, woh bhi rahega. Maulana, agla sawal kya hai? Maulana Iqbal Umri ne Chennai se, unhone likha hai, ek ayat hai.