Maulana Wahiduddin Khan

Difference between faith and rational thinking

“What is the difference between faith and rational thinking?”Asked by محمد الیاس, تامل ناڈو

He answers at 46:16 in The Process of Personality Development · 3 min 15 sec

His answer, in his own words
46:16
to aap ka kehna bilkul sahi hai, aur yahi har momin ko karna chahiye. hamara agla sawal hai muhammad ilyas sahab ka tamil nadu se. unhon ne likha hai: "imaan aur rational thinking mein kya farq hai?" imaan aur rational thinking mein yeh farq hai ke imaan ibtidai taur par naam hai aqeedah ka. yaani aap jab yeh maanein ke Allah ka wajood hai to Allah ko aap dekh nahin rahe hain, woh to ghaib mein hai. to ghaib par jab aap jab ghaib ke aik aik waqea jo ghaib mein hai, us ko aap maante hain to us ko aqeedah kaha jata hai.
47:06
to Allah ghaib mein hai, jannat ghaib mein hai, farishtay ghaib mein hain. in sab cheezon ko jab aap iqrar karte hain, iqrar to woh imaan hota hai. yaani iqrar jab aap karte hain in cheezon ka to woh imaan hota hai. lekin dekhiye, yeh aakhri had nahin hai, yeh aakhri had nahin hai. aap soch kar insan apne mizaj mein, insan ka jo mizaj hai, bohat hi rational thinking mizaj mein shamil hai. insan ke yeh aadmi cheezon ko reason out karta hai. to imaan ibtidai taur par naam hai aqeedah ka, aur jab is ko reason out karte hain aap to woh imaan yaqeen ban jata hai, woh aala marifat ban jata hai.
47:55
to main samajhta hoon ke imaan aslan naam hai iqrar ka, lekin imaan ko jab aap taraqqi dein, is ko reason out karein, waqeaat ko rational way mein sochein to imaan mein aik aur cheez ka izafa ho, imaan plus ban jata hai. to phir aap ka imaan, imaan plus ban jata hai. yaani yeh yaqeen aata hai, aala marifat aati hai. to main yahi kahunga ke shaoor jo hai, aap ke imaan ko, yaani shaoori, yaani shaoori amal jo hai, woh aap ke imaan ko imaan plus banata hai. hamara agla question hai ans sahab ka dehli se. unhon ne likha hai ke aik sahab ne bataya ke jab koi problem ho to 41 martaba quran ki surah yaseen parh kar dua karo.
48:48
maulana, quran ka is tarah istemal karna kaisa hai? kya prophet aur prophet ke companions quran ka is tarah use karte thay? aakhir sahaba ke waqeaat mein to aisi cheezein nahin hain, lekin kuch kitabein likhi gayi hain, hamare ulma ne likhi hain, hamare purani ke naam se. to is mein yeh baatein aati hain. to yeh koi najayaz to nahin, main kahunga is ko, lekin yaani sahaba ke haan is ka, yaani istemal ki misaal maine nahin likhi, agarche main is ko jaayaz samajhta hoon. hamara agla sawal hai mahboob sahab ka shurapur yadgir, karnataka se. unhon ne apne aik saathi ka sawal likha hai ke agar koi shakhs waqt ke imam ko pehchanay baghair mar jaye, woh jahalat ki halat mein mar gaya.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.