Quran's role versus universe in faith
“If you did not have the Quran to believe in God, would the universe be enough? What is the role of the Quran in your life of faith?”Asked by Iqbal Umari, Chennai
He answers at 39:05 in Discovering God · 4 min 27 sec
39:05maulana, agla sawal bheja hai maulana iqbal umri ne chennai se. unhon ne likha hai: "maulana, ek sawal hai: agar aap ko khuda par yaqeen karne ke liye quran na hota to universe kafi tha? yani quran ka kya role hai aap ki imani zindagi mein? is ke bare mein bataein." quran jo hai, book of guide hai. universe jo hai, universe to jisko kehte hain
39:51data, hum ko data faraham karta hai, lekin quran jo hai, woh guide karta hai. agar aap quran ko aaj kal jo tareeqa parhne ka quran ka ke technical point ko le ke utara karte hain, koi na woh search ke liye baitha hai, koi na woh quran ke nuqton ko hal kar raha hai, aisi aisi kuch technical aspect. quran ko asal jo aspect hai, woh hai
40:45quran aap ke liye kitab tadabbur ban jaye. jo log tadabbur ki baat karte hain, un ki un ki kitabon mein bhi mujhe tadabbur nahi milta. un ki wahi nuqte nuqte milte hain. aap khud kisi bhi kisi bhi quran par kisi bhi kitab ko lijiye aur us ko mutala kijiyey.
41:21ab mutala kar ke mujhe bataiye aap ke is se aap ko take away kya mila? ek hi sawal mein karta hoon: koi bhi tafseer koi bhi zaban mein jo aap ke pas ho, us ko parhiye shuru se akhir tak, aur phir us ko us ko bataiye ke is se take away kya mila? mislan mein batata hoon ke take away kya cheez hai. aaj mein soch raha tha ke quran kya deta hai insan ko, to mujhe yaad aya ke quran ka jo pehla lafz hai, wahi deta hai: woh alhamdulillah rabb ul alameen. yani
42:11khawand alam ko is hesiyat se daryaft karo ke woh tumhare liye rabb ul hamd ban jaye, woh jo mein ne kaha mohabbat ka source ban jaye. to aap kisi bhi tafseer ko parhiye aur mujhe bataiye ke is ko parh kar aap ko take away kya mila? to log fanni fanni nuqton ko samajh bethe hain. tafseer woh tafseer hai hi nahi. fanni nuqte jis pe paise hote hain, woh tafseer hai hi nahi.
43:06aap ko shaq ho to aap yeh kijiye ke kisi tafseer ko lijiye, kisi bhi tafseer ko, aur us ko parh kar ke aap mujhe bataiye ke is mein aap ko take away kya mila. isi mein jawab mil jaye ga aap ko. maulana, kuch un ka ek aur sawal hai. maulana, unho ne likha hai: