Will past sins be forgiven after sincere repentance?
“Maulana, thank you for explaining the process of tawbah; my heart was seeking it. I want to know one more thing: if a mistake has been committed, after going through the process of tawbah, will we still be punished for it in the afterlife, or will it be erased from our record?”Asked by Razia
He answers at 52:54 in The Process of Personality Development · 3 min 34 sec
52:54jab brain storming ati hai to is ke iman mein tarraqi hoti hai, marfat mein tarraqi hoti hai. maulana, agla sawal hai miss raziya ka, jamiya millia islamia, urdu department se. unhone likha hai: "maulana, aap ne jo tauba ka process bataya, us ke liye shukriya. mere dil ko is ki talash thi. ek baat aur janana chahti hoon ke jo ghalti ho gayi hai to kya tauba ke process se guzrne ke bad bhi is ghalti ki saza hamein akhirat mein di jayegi ya woh hamare record se mita di jayegi?" record se nikal di jayegi. woh quran mein likhi ek ayat hai: wama yaghfir uz zunuba illa allah
53:43allah ke siwa kon hai jo gunahon ko maaf kare? to aaj kal ki zaban mein mein yeh kehta hoon ke allah ke siwa kon hai jo mere nama-e-aamal se kisi cheez ko delete kar de? woh jis ko aaj kal hum kehte hain delete karna, wohi murad hai is se. wohi murad hai wama yaghfir uz zunuba illa allah yani yeh mamlat insan ke aamal jo hain, woh ek pura ek universe hai. insan in sare aamal mein jo lakhon karoron item hain, is mein se is item ko hadaf karna jo matloob nahi hai, to k
54:22un kar sakta hai? allah ke sath koi kar nahi sakta. yeh bas is ko hum aaj kal ki zaban mein kehta hoon ke allah ke sath koi nahi hai jo kisi ke nama-e-aamal se ghair matloob cheezon ko delete kar sake. dusri ayat dekhein, ek aur hai: ya ibadiyallazina asrafu ala anfusihim la taqnatu birah matillah innallaha yaghfir uz zunuba jami'an mein aksar jab quran ko parhta hoon to yeh ayat mujhe lagti hai ke bohat bari rehmat hai insan ke liye. ajeeb ghareeb rehmat hai. is ka tarjuma yeh hai: aye mere bando jinhone apni janon par zulm kiya hai, ziyadati ki hai, to tum mayos na ho,
55:17kyunke allah sare hi gunahon ko maaf kar kar sakta hai. fa innallaha yaghfir uz zunub jami'an is mein dekhiye, koi cheez exempted nahi hai, koi cheez exempted nahi hai. to islam mein jo tasawwur diya gaya hai, woh yeh hai ke banda agar sachi tauba kare, tauba sachi tauba hua nahi ke munh se bol diya to sachi tauba ho gayi. woh process chalaye apne andar, woh process to zaroor is ki maaf
55:53i ho jayegi. is tarah sab delete kar diya jayega, aur tauba ka yani moqa insan ko aakhri waqt tak diya gaya hai. jo aaj hadith mein ata hai ke innallaha yaghfir ut taubata ma' al mughriqi yani maut ke aakhri waqt tak insan ko moqa diya jata hai ke woh tauba kare aur is ko maafi mil jaye. to maghfirat ka jo tasawwur hai islam mein, woh to bohat hi wasee hai. koi cheez is mein exempted nahi hai.
56:28molana, agla sawal hai zaheer uddin khwaja sahab ka, rae chor se. unhon ne likha hai: rabana atina fid dunya hasana ka matlab kya hai?