Meaning of hadith on poor building large houses
“What is the meaning of the hadith that poor people will build large houses? The hadith words are: 'تَرَى الأَرَامِلَ الْحُفَاةَ يَتَعَاوَلُونَ فِي الْبُنْيَانِ'.”Asked by Shah Imran Hasan, Delhi
He answers at 2:06 in Question & Answer Jan 6th 2013 - Maulana Wahiduddin Kahn · 2 min 27 sec
2:06maulana, agla sawal dilli se hai, shah imran hasan sahib ka. unhon ne aap se poocha hai: hadith mein aya hai ke kam paise walay baray baray makan bananay lagen ge. is ka kya matlab hai? hadees mein yeh lafz hai ke: "ترل اورات الحفات یتعولون فی البنیان"۔ ke ek zamana aaye ga ke jab,
2:38yani, اورات الحفات kehte hain nangay aur, yani, nangay badan aur nangay paon, bila joote aur bila kapray walay. matlab yeh hai ke ghareeb log baray baray makan banayen gay. Yani ghareeb log, pehlay zamanay mein dekhiye, kamanay ka koi zariya nahi hua karta tha. yeh yeh peshangoi hai ke agriculture ka daur khatam hoga, industry ka daur aaye ga. Mojooda zamanay ki jo industry hai woh kya hai? woh decentralization of economy hai. Yani pehlay land based economy hua karti thi. Jis ke paas zameen hai usi ke paas paisa hai, baqi log ghareeb hain.
3:27ab jo hai industry ne kya kiya ke har aadmi kuch na kuch kama sakta hai. Har aadmi kuch na kuch. Yeh dekhiye, million billion item naye barh gaye pehlay koi item nahi tha pehlay zamanay mein. koi item nahi hua karta tha pehlay zamanay mein. To yeh yeh industrial growth ka is mein prediction hai ke ek zamana aaye ga ke jab industrial growth hoga, nayi nayi kamai ki sooraten banen gi aur woh log jo moojooda zamanay mein, is zamanay mein, un ke paas koi source nahi hai to woh wohi source pa len gay. Har aadmi kamaye ga, har aadmi kamaye ga. jin ke baap dada nangay bhookay rehtay thay woh baray baray ghar banayen gay. Yeh peshangoi hai baad ke zamanay ke baray mein.
4:25aur jo aaj waqea ban chuki hai. Is zamanay mein yeh cheez waqea ban chuki hai. maulana, agla sawal kolkata se hai, farooq sahib ka. Unhon ne likha hai: "maulana, you mentioned in today's talk about asking from other people about their finding or their discovery." Maulana sahib, I want to know what is your definition of finding or discovery