Overcoming fear of failure in planning
“When we plan, there is always a risk of failure in terms of results. The threat of failure sometimes becomes so dominant that we tend to do no planning. Maulana saheb, how can we address this problem?”Asked by عامر موری, شیر نگر
He answers at 35:02 in Modern Age · 2 min 59 sec
35:02jazak Allah Maulana for asserting such a fantastic message." Maulana, agla sawal lena chahenge. yeh sawal bheja hai aamir mori sahib ne Sher Nagar se. unhon ne likha hai, "when we plan, there is always a risk of failure in terms of results. The threat of failure sometimes becomes so dominant that we tend to do no planning. Maulana sahib, how can we address this problem? Kindly guide us." Bhai, mujhe to is ka koi tajruba nahi hai kyunke mera tajruba to zaati tajruba is ka ulta hai.
35:49Main ne zero se planning ki, Allah ke dua karte hue. To zero se planning ki lekin dua bohat zyada ki, bohat zyada ki. To mujhe to Allah ke fazl se kamyabi hui. Mujhe to hamesha planning ka acha tajruba hua. Maulana, un ka woh yeh jaan na chah rahe hain ke kya dar ki wajah se planning ka insaan ko chhodna yeh kya sahi yeh soch hai? Is is dar, dar kya cheez hai? Dar jo hai haqeeqat mein unawareness ka naam hai.
36:38Dar unawareness ka naam hai, bekhabri ka naam hai aur kisi cheez ka naam nahi hai. Main khud kitni baar aisa hua ke kisi ne daraya, "Yeh to hone wala nahi hai, woh to hone wala nahi hai," lekin main aage badh gaya. Ya aage badh gaya to wahan koi dar hi nahi tha. To dar aik false andishe ka naam hai, unaware hone ka naam hai. To mera bara masla yeh hoga ke tajrube se pehle rai na banaya jaye. Tajrube se pehle rai na banayein. Tajrube se pehle rai na banayein. Yeh mere saath hua.
37:38Ji, yeh maine kiya hai ke logon ne mujhe daraya lekin jab is mein main kood pada to Allah ne mujhe kamyabi ata farmayi. Maulana, agla sawal lene se pehle aik comment parhna chahenge jo Mahboob bhai ne Mumbai se bheja hai. Unhone likha hai, "Maulana, I never heard in my life from any aalim who talks about planning.