Reality of magic and its effects
“If someone falls ill or is afflicted with trouble, people say that they have been affected by magic. Is there any reality to magic?”Asked by Shafi Ahmed, Visakhapatnam
He answers at 1:00:19 in The Process of Personality Development · 1 min 36 sec
1:00:19molana, agla sawal hai shafi ahmed sahab ka, vishakhapatnam se. unhon ne likha hai: molana, agar koi bimar ho gaya ya pareshani mein mubtala ho gaya to log kehte hain ke us ke par jadoo ho gaya. molana, kya jadoo ki koi haqiqat hai? dekhen, mein to jadoo ki haqiqat par nahi manta, bilkul nahi manta is ko. yeh jo ek waqea jo quran mein aaya hai misr ke saahir ka, firoun ke zamanay ka, to woh us ko mein nazarbadi manta hoon.
1:01:04us ko mein real sense mein, un ki laathiyan aur rasiyan real sense mein saamp ban gayi theen, yeh mein nahi manta. to khud isi pe lagta hai saharu ayyun al-nas khud quran mein sahar al-nas yani dekhnay mein laga logon ko ke yeh rasi hai aur nahi hai, balkay saamp hai. us ko aaj kal ki zuban mein kehte hain nazarbadi. aur yeh jo samjha jata hai ke jinat kuch kar deta hai, to us ke liye to sarahatan quran mein tardeed hai laysa laka alayhim min sultaan tum ko insaan ke oopar koi qudrat nahi hogi. in cheezon ke le kar ke mein nahi manta ke jadu koi aisi mu'assir cheez hai. woh ek, mein us ko nahi manta.
1:01:55maulana, agla sawal hai from abu sarah hyderabad se. unhon ne likha hai ke seerat ki kitabein jihadi pattern mein kyun likhi gayi hain?