Why are Seerah books written in jihad pattern?
“Why are Seerah books written in a jihad pattern? Because of this, it seems that the Prophet was a jihad prophet.”Asked by Abu Sarah, Hyderabad
He answers at 1:01:55 in The Process of Personality Development · 1 min 33 sec
1:01:55maulana, agla sawal hai from abu sarah hyderabad se. unhon ne likha hai ke seerat ki kitabein jihadi pattern mein kyun likhi gayi hain? is ki wajah se aisa lagta hai ke rasool Allah jihadi paighambar thay. nahi, dekhen, aisa nahi hai. us ko aap generalize mat kijiye. yeh sahi hai ke yani ghazwati pattern mein likhi gayi kitabein, kyunke qadeem zamanay mein jo tareeqa tha tareekh nigari ka, woh yahi tha. yeh to abdul rehman ibn khaldun ke baad yeh tareeqa paida hua.
1:02:38to us rasool Allah ke ke baray mein jo seerat kitabein hain, to usi mein na samjhen ke seerat wohi kul seerat ho gayi. rasool Allah ki seerat ke teen ma'khaz hain, us ko samajh lijiye. sab se pehle quran ma'khaz hai, us ke baad hadees ma'khaz hai, us ke baad seerat ki kitabein. to maghazi ibn ishaq ko aap samjhen ke wohi seerat hai, to yeh galat hai. yeh samajhna galat hai. to rasool Allah ko aap ko janna agar hai to aap ko quran mein jo rasool Allah ke baray mein hai, woh dekhna paray ga.
1:03:14hadees mein jo aap ki tasweer hai, woh dekhna paray ga. aur phir sehat ki kitabon ko dekhna paray ga. tab aap rasool Allah ki sehat ke baray mein poora, yani poori jankari hasil kar paayen ge. maulana, agla sawal hai mehtab ahmad sahib ka, dhampur se.