1:05:31maulana, agla sawal hai iqbal umri sahib ka, tamil nadu se. unhon ne likha hai: maulana, main apne ek maulana se sawal kiya: iqamat deen zaat aur zameen dono par matloob hai? to unhon ne kaha ke dono bhi matloob hain. kya yeh sahi hai? dekhen, quran mein jo ayat hai, us ka zameen mein iqamat se koi talluq nahi hai. yeh bilkul galat hai jo us ne kaha hai ke dono
1:06:00iqamat deen se murad jo quran mein jo ayat hai, surah asharon mein, iqamat deen, woh sirf zaat ke bare mein hai, zameen ke bare mein hai hi nahi. yani aadmi apni zindagi mein deen ko follow kare, apni zaat par allah ke hukumon ko chalaye, yani apni soch, apna qaul, apni rawish, us par woh allah ke deen ko ikhtiyar kare. zameen mein iqamat karna yeh to bilkul alag baat hai, is ka quran ki ayat se koi talluq nahi hai. yeh kuch logon ne jo islam ko politicize kiya hai, un ka, un un ki bidat hai. yeh, yeh is ko main political bidat samajhta hoon. is ka islam se koi talluq nahi hai, na quran us ayat se koi talluq hai. is par maine bohat tafseel se likha, meri kitab mein padh lijiye, jis ka naam hai "taweer ki ghalati".