48:18maulana, agla sawal gulbarga se hai maulana muhammad yaqoob umri ka. unhone likha hai: "maulana, nazriati ladaai ka lafz bola jata hai. kya yeh daur nazriati jang ka daur hai? aap kya kahenge?" jang ka lafz to aaj ke insaan ko nafrat hai jang ke lafz se. aaj ke insaan ne first world war aur second world war ke baad insaan ko war ke lafz se nafrat ho chuki hai. to agar aap islam mein yeh lafz bolein to log samjhein woh samjhenge ke jaise doosre hain, waise hi islam bhi hai. doosre bhi believe karte hain ladaai bhadaai par, islam bhi believe karta hai ladaai bhadaai par.
49:05to mein dekh raha hoon ke nazriati jang ka lafz bilkul be maani lafz hai. aap yeh keh sakte hain ideological struggle keh sakte hain aap, aur mein to is ko mission ka lafz bolta hoon, struggle bhi nahin bolta hoon mein. yaani islam daawti mission ka naam hai, daawti jang ka naam nahin hai. daawti mission bas, yaani peaceful dawat mission, bas yahi islam hai. aap apne apne bare mein jo aap ke farz hain, imaan hai, ibaadat hai, ikhlaq hai, woh ek zaati farz hain aap ke, woh to aap ko poora karna hai. aur jahan tak apne se bahir ki duniya ka maamla hai, us ke liye aap ka mission sirf ek hi mission hai, aur woh hai dawat ilallah ka mission. bas.