1:15:32unho'n ne likha hai: "maulana, sawal kis niyat se karen ? maloomat ke izafe ke liye, marifat ke izafe ke liye, ya phir kisi ke aitraz ko rafa karne ke liye? is ke bare mein bataen." dekhiye, ek ek sahabi kehte hain: "nawhuna 'an qasd al-su'al wa in qasd al-qil wa al-qal" . ek sahabi ka qaul hai yeh: "nawhuna 'an qasd al-su'al wa in qasd al-qil wa al-qal" . ke zyada sawal karne se hum ko mana kiya gaya. islam mein zyada sawal nahi hai.
1:16:17to main ne ghor kiya ke aisa kyun hai? to asal mein yeh hai ke islam chahta hai khud aap ka apna intellectual development. agar aap ke mind mein koi sawal aata hai to sochiye, sochiye, apne mind ko unfold kijiye. apna intellectual development kijiye, apne zehni irtaqa ka zariya banaiye is ko. to log bas chahte hain ke log kya karte hain? zehan mein ek baat aayi, dhar se kisi ko sawal kar diya. is ko sab se pehle khud sawal ko par ghor kijiye, digest kijiye, samjhiye.
1:16:57is ke bawajood agar sawal baqi rehta hai to aap kisi se poochhiye. yani sawal puchhna main galat nahi samajhta, lekin sa'il ko khud apne hisse ka kaam pehle karna chahiye. yani homework pehle karna chahiye. homework ke baghair log sawal kar dete hain. aksar main ne dekha ke homework kiye baghair sawal kar dete hain. is par khoob sochiye, khoob is par tehqiq kijiye, apne dimagh ko ladaiye.
1:17:29to tab ja kar ke sawal ka asal faida milega. woh hai intellectual development. jahan tak main ne samjha hai ke islam mein supreme cheez hai intellectual development. supreme cheez hai jo cheez record ban raha hai intellectual development mein, woh islam mein nahi hai. abhi main kisi se baat kar raha tha kal parson to ek hadith hai. "iyyak wa dhak fa in kathrat al-dhikri tu'ammid al-qalb" . ke zyada hansi ka tareeqa chhoden.
1:18:05kyun ke hansne ke tareeqe se kya hota hai? dil mar jata hai. to dil marne ka matlab kya hai? dil marne ka matlab yeh hai ke intellectual development ka process ruk jata hai. jo hansi mazak karte hain, joke chhodte hain, un ko sab se bari price deni padti hai. price ke un ke andar intellectual development ka process ruk jata hai. main zaid tajrube bayan par kar sakta hoon ke main ne bohat se logon ke bare mein keh sakta hoon ke main ne un se baat ki jo hansi mazak karte hain, joke chhodte hain, to koi sanjeeda discussion ke qabil nahi hote woh. koi koi serious discussion ke qabil nahi hote kyun ke un ke paas woh mind nahi hota ke woh is mein hissa le saken. bas hansi mazak, hansna hansana yeh rehta hai un ka tareeqa.
1:18:59to islam mein har us cheez ko napasand kiya gaya hai jo aap ke intellectual development mein rukawat bane. yeh bhi rukawat hai ke bas sawal aaya dimagh mein, dhar se pooch dala aap ne, khud kuch homework nahi kiya. yeh bhi rukawat hai intellectual development mein. to har woh cheez islam mein main samajhta hoon ke islam ke aitbar se galat hai jo aap ke zehni irtaqa ke process mein kami kare. zehni irtaqa ke process ko roke.
1:19:35sab se ahem cheez hai zehni irtaqa. aur tajziya yeh jo hai, tazkiya jo hai, tazkiya bhi yahi cheez hai. zehni irtaqa'i ka naam tazkiya hai. allah ta'ala ne aap ke mind mein bohat ziyada capacity rakhi hai. is is capacity ko unfold kijiye. apne mind mein bohat ziyada potential hai. is potential ko unfold kijiye. lekin jo ghalat aadatein hain, hasna hansana hai, joke mein yani jeena hai, yeh sab cheezein jo hain, aap ko yeh process aap ke andar jaari nahi hone deti ke aap ke mind ke potential ko aap unfold karein aur zehni irtiqaa aap ka ho. toh har woh cheez jo yani kisi bhi darje mein rukawat bane zehni irtiqaa mein, us ko is tarah chhod dijiye jaise koi haraam cheez ko chhodta hai.
1:20:30haraam samajh ke chhod dijiye us ko. maulana, yeh sawal dilli se hai maulana sharq hussain ka. unhone likha hai: "pakistan ke bare mein aap ne likha tha ke woh ab ab tak machhli ke pait mein rahenge jab tak woh prophet yunus ki tarah rujoo na karein." is rujoo ka matlab kya hai? is ke bare mein bataein. rujoo ka matlab hai ke ke mad'oo se nafrat khatm karein, ada o bart karein. yeh two point formula. mad'oo se maslan hindu mad'oo hain, yahoodi mad'oo hain, american mad'oo hain, saare doosri qaumein woh mad'oo hain hamare liye.
1:21:16toh mad'oo se nafrat khatm karna aur peaceful dua work karna. bas yahi hai. aur kuch nahi. doosra jo tareeqa hai gun aur bomb ka hai, is se kabhi falaah nahi milegi. ab tak falaah nahi milegi gun aur bomb ke tareeqe par. yeh tay hai. gun culture aur bomb culture chala kar ke kabhi falaah nahi milegi. toh falaah ka formula yeh yeh two point formula hai ke mad'oo saare saare insaan hamare liye mad'oo hain, chahe hindu ho ya ya koi doosra ho. toh yak tarfa taur par nafrat ko khatm karna. yun le lein, yak tarfa taur par nafrat ko khatm karna aur doosre peaceful dua work karna.
1:22:04in ka khair khwah ban kar ke. bas yahi yahi hai formula. koi doosra formula nahi hai. maulana, unka ek aur sawal hai. unhone likha hai: "partition ke baad pakistani leadership ne pakistan ko muslim country declare kar diya, jabke nehru ne india ko hindu country declare karne ki bajaye india ko secular country karar diya." do leadership ke beech mein yeh difference kyun hai? nahi, is mein koi harj nahi tha lekin is ke taqaze poore kiye jayein. muslim country aap develop kar declare karein toh toh is ko sach much muslim ke ma'ne mein lein, na ke qaumi ma'ne mein. aap declare karein is ko islami mulk aur muslim mulk, lekin amal'an kya hai ke qaumi mulk banaye hue rahein. wahan aapas ki ladai karein, musalman musalman ko marein toh muslim kahan hua?
1:23:02na muslim land hai, na islami land hai woh. toh main samajhta hoon ke yani na secular land declare karne mein koi ghalati hai, na muslim land declare karne mein. asal cheez yeh hai ke sach much woh secular land ho, sach much muslim land ho. jabke aisa nahi hai. maulana, yeh sawal dilli se hai doctor safeena ka. unhone aapse poocha hai: "what is the role of women in peaceful dua
1:23:35we work?" is ke bare mein bataein. wahi hai jo mardon ka hai. aap islami leadership distributor kijiye. aur is zamane mein toh yeh hi ek hi kaam hai. sahaba muqarrar the, aap distributor ban jaiye. aur koi doosra kaam nahi hai. chhupa hua quran maujood hai, chhupi hui kitabein maujood hain. toh sahaba ke zamane mein toh chhapayi thi nahi, toh muqarrar ban gaye the. ab chhapayi hai toh aap distributor ban jaiye. yeh mardon ko bhi karna hai, auraton ko bhi karna hai.
1:24:11maulana, agla sawal mumbai se kiya hai naseem khan sahab ne. unhone likha hai: "maulana, allah ki taraf se tanbeeh, saza, aur hamare apne a'maal ki wajah se pohnchne wali saza ke farq ko hum kaise samjhein?" is ke bare mein bataein. dekhein, yeh dunya mein aap samajh nahi sakte is ko. yeh allah ka mu'amla hai. yani allah ke domain mein dakhil hone ki koshish mat kijiye. yani maal alam mein jhaanknay ki koshish mat kijiye. aap to sirf apni zindagi ko quran ki roshni mein woh muhasba karte rahiye, introspection karte rahiye ke main jo mera jo rosh hai, meri jo zindagi hai, woh quran o sunnat ke mutabiq hai ya nahi mutabiq hai.
1:25:03bas is meyar ko le kar apna muhasba karte rahiye. baqi maal aala mein kya ho raha hai, woh hum jhaank kar nahi jaan sakte. yeh hamare bas mein nahi hai. maulana, unka ek aur sawal hai. unhon ne aapse poocha hai ke "kya ummat musalman par pehli qomon ki tarah azaab elahi aayega?" bhaiya, yeh to allah se poochne ki baat hai. wohi mein ne kaha na ke saare logon ka ajeeb o ghareeb mizaj hota hai ke woh maal aala mein jhaanknay ki koshish karte hain. hum maal aala mein jhaank nahi sakte. hamare bas mein nahi hai. apni zimmedariyon ko pata kijiye bas. hamari zimmedariyan kya hain?
1:25:46maulana, agla sawal delhi se hai miss naghma siddiqui ka. unhon ne likha hai: "in today's world is there any situation in which war in which war qatal is allowed?" mein baat samajhta hoon ke nahi. is liye ke pehle zamanay mein jo qital hota tha, difai, woh bhi khatam ho gaya. ab to defensive war bhi nahi hai. kyun? yeh zamana hai, aap jante hain, weapons of mass destruction ka. weapons of mass destruction. yani pehle zamanay mein talwar chalti thi to ek aadmi gardan kat'ti thi.
1:26:33ab jab bomb phat'te hain to ek aadmi nahi marta is mein. bohat se log marte hain. bachay bhi, bachay bhi, boorhay bhi, auratain bhi, sab marte hain. to to haram hai. aap fiqi kitabon mein parhiye jo is maamle mein to woh batate hain ke islam mein sirf muqatil ko marna jaiz hai. ghair muqatil ko marna ki ijazat nahi hai aap ko. yani competent ko aap maar sakte hain, non-competent ko aap nahi maar sakte. is zamanay mein yeh farq khatam ho gaya.
1:27:07ab jab aap bomb exploit karenge to woh to sab marega is mein. auratain, bachay, boorhay, beemar sab marega. to is zamanay mein ke aaj yeh mumkin nahi ke aap muqatil aur ghair muqatil ke darmiyan farq karen. competent, non-competent ke. is liye mein samajhta hoon ke is zamanay mein qital ka koi option hi hamare nahi hai. qital ka option khatam hai. kisi bhi haal mein nahi qital ka option hai.
1:27:38ab to sirf yeh hai ke aap peaceful negotiation kijiye. peaceful method ikhtiyar kar ke logon ko persuade kijiye. yahi yeh option hai. woh option baqi nahi raha hai. maulana, doctor taah ne delhi se agla sawal kiya hai. unhon ne likha hai: "kisi aadmi ke liye poori tarah empty mind hona kis tarah mumkin hai jabke aadmi ka mind har waqt in empty hota hai?" nahi, nahi, bilkul mumkin hai. aap insaan ke mind ko underestimate kar rahe hain. yani insaan ka mind itna zabardast cheez hai ke woh agarche us ke dimagh mein bohat sari baatein hon, phir bhi us ke alag ho kar soche woh.
1:28:25phir bhi alag soche. yeh to bilkul possible hai. aur mein apni misaal deta hoon. aap meri kisi kitab mein bata dijiye ke maine yani objectivity ko khoya ho kahin. mere mind mein hazaron, lakhon, karoron baatein hain lekin mein objective tor par analysis karta hoon har baat ka. agar aap meri kitabon mein batayein ke kahan mein objectivity kho di hai maine to mein manunga aap ke mafroozay ko nahi manunga. yeh bilkul mumkin hai ke insaan agarchay is ke dimagh mein bohat si baatein hoti hain lekin objective tor par kisi aik cheez ko analysis karay, us ko samjhay us ko.
1:29:01yeh yeh mind ki capacity ki baat hai. Aap insaan ke mind ko under statement karain gay agar aisa kahain aap to. Insaan ke mind to bohat ajeeb o ghareeb cheez hai. Ma Allah ke fazal se mere mind mein beshumar baatein hain, har waqt hain. Lekin jab mein kisi cheez ka analysis karta hoon to baaton ko alag kar ke bilkul objective tor par us ka mutalia karta hoon. Har insaan ke liye mumkin hai yeh. Maulana, agla sawal Delhi se hai Muhammad Anas sahib ka.
1:29:38Unhon ne likha hai: "Aik hadith mein aaya hai ke tum aapas mein aik doosray ko hidayat diya karo, is se baaham mohabbat paida hogi." Maulana sahib, is hadith ko explain karain. Haan, is ko bohat log liye rehtay hain. Tahadu, tahabo. Aaj kal to fashion hai. Aaj kal woh hadiya nahi duniya mein. Is zamanay mein jo gift hota tha, aaj woh gift nahi hai. Aaj to aik fashion hai. To aaj ke riwaj ke aitbar se samajhta hoon ke yeh yeh gift culture jo hai, mein us ko pasand nahi karta. Aaj ka jo gift culture hai, woh aik riwaj hai aur us ke yani us ki spirit hi doosri hoti hai.
1:30:25Woh spirit nahi hoti hai jo us zamanay mein tha. To speed ke lihaz se aaj ka gift culture ko mein sahi nahi samajhta. Us zamanay mein jo tha, us ki speed doosri hoti thi. Aaj ki speed doosri hai. Maulana, aik aur sawal hai un ka. Unhon ne likha hai: "Last class mein aap ne bataya ke hidayat insaan khud se hasil karta hai. Maulana, hidayat ke liye dua karne ka matlab kya hai?"
1:31:01Dekhiye, mera tajurba yeh hai ke aadmi ko jab koi jati baat us ki guzarti hai, maslan uska uska beta mar gaya, to khoob dua karta hai woh. Dilo jaan se. Bimar hai, dilo jaan se dua karta hai. Lekin jo akhirat ki baatein, jannat, dozakh ki baatein hain, us ko fuzool tareeqay se dua karta hai. Kitabon mein kuch duaen jo likhi hui hain, rat liya to woh kar raha hai. Aur beta beti ke liye duaen karna hai to jigar phaar kar duaen karta hai. To har aadmi ko khud pata hai ke rasmi dua kya hai aur haqeeqi dua kya hai. Aap ne bhi dekha, aap ne bhi dekha hai ke aik aik aurat ka bachcha bimar tha, Is qadar jigar phaar kar duaen kar rahi thi woh apne bachche ke liye ke mera bachcha acha ho jaye. Lekin wahi aurat ko jab dua karna hota hai akhirat ke baray mein, to kitabon mein rat leti hai, usi ko dua deti hai. Yeh to bohat aasani se samajh sakte hain aap ke dono duaon mein farq kya hai. To Allah taala ko lip service wali dua nahi matlab hai. Lip service wali dua se kuch nahi hota. Woh dua jo dil ki gehraiyon se niklay, jis mein aadmi apni shakhsiyat ko undel diya ho,
1:32:20Woh dua bila shuba qabool hoti hai. Wahi dua yani Allah taala ko matlab hai.