maulana, agla sawal gulbarga se aya hai, muhammad abdul gani sahib ka. unhon ne likha hai: "prophet ke companions ke liye jo reward allah ne rakha, kya woh hamare liye bhi applicable hai?" haan, hazrat umar ne kaha hai: "mansura" yani sahaba ke bare mein. mansura wakun misl al-ummah fal-yad shartullah fihi. yani jo sahaba ke ke darje ka inaam chahta ho to woh un ka amal kare. agar Allah ke nazdeek hum khud nahi keh sakte ke hum sahaba wala amal kar rahe hain, agar Allah ke nazdeek kisi ka amal is darje ka amal hoga to bilashuba us ko mile ga woh darja. aur Quran mein hai ke: "walayka min an nabiyyin wa siddiqin wa shuhada wa salihin". to yeh meet dekhen, meet aam lafz hai yahan par.
unki doosron ko bhi unki meet hasil hogi. lekin woh jo qurbani di, unhon ne, unhon ne jo amal kiya, unhon ne jo ikhlas pesh kiya, woh woh shart hai. woh shart poora kare koi shakhs to bilashuba us ko woh darja mile ga. Allah ke haan koi tafreeq nahi hai, koi imtiaz nahi hai. lekin shart poora karna asal cheez hai. Maulana, agla sawal Delhi se aaya hai, Miss Naghma Siddiqui ka. unhon ne likha hai: "today all people have started holding their belief as secret and do not want to rethink.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.