Meaning of completed religion verse
“Maulana, what is the meaning of 'Al-Yawma akmaltu lakum dinakum'? Is it correct to derive from this verse that Islam is a complete religion?”Asked by مسٹر فرح احمد, Tamil Nadu
He answers at 13:37 in Islam and Science (In Conversation with Maulana) · 2 min 27 sec
13:37Maulana, agla sawal Tamil Nadu se aaya hai, Mr. Farah Ahmed ka. unhon ne likha hai: "Maulana, alyawm akmalt lakum dinakum ka kya matlab hai? kya is aayat se yeh matlab lena sahi hai ke Islam mukammal deen hai?" is mein hai kahan? aayat mein yeh kahan hai? is mein yeh lafz kahan hai ke Islam mukammal deen hai? aap mujhe bataiye ke is aayat ka kaun se lafz ka yeh tarjuma hai ke Islam mukammal deen hai? yeh to khud sakhta matlab nikala gaya hai. is ka tarjuma kijiye, tarjuma lafzi kijiye. tarjuma yeh hoga: "aaj maine tumhare deen ko tumhare liye poora kar diya, kaamil kar diya." yeh to nahi ke aaj maine Islam ko mukammal kar ke tumhein is ka mukammal edition de diya.
14:31kahan is mein? is ke mani yeh nikle ke jo ahkam tumhare upar utarne wale the, woh utar utar utar chuke. yani jo Quran ka jo hissa, jo aayaten aur suratain utarne wali thin, tumhare upar woh utar chuki hain. ab aage kuch nahi utarne wala hai. lafzi tarjuma mein yeh kahan nikalta hai ke ke ke aaj tum ko hum ne is deen ka mukammal edition de diya? aaj tum ko hum ne deen ka yani mukammal zabta de diya jo pehle mukammal nahi tha. lafzi tarjuma sirf itna hi hai ke: "alyawm akmalt lakum dinakum". aaj maine kaamil kar diya tumhare deen ko, tumhare liye, tumhare deen ko, tumhare liye. yani Quran ka isi liye Hazrat Umar ne jab yeh aayat suni thi to aap rone lage.
15:27aap samjhen ke Rasool Allah ki wafat hone wali hai kyunke jo aayaten utarne wali thin, utar chuki hain. jo hisse Quran ke utarne wale the, utar chuke. yeh mani liya unhon ne to yeh bilkul farzi hai. is aayat mein kabhi bhi yeh nahi hai aur Islam ka koi naqis edition hai, na koi kaamil edition hai. islam bas islam hai. yani deen ka na koi kamil edition hai, na koi na ghair kamil edition hai. jo deen pehle tha, wahi deen aaj bhi hai. har nabbi par yeh tasawwur bilkul hi be asal hai. quran o hadith mein iska koi saboot nahi hai.
16:04maulana, agla sawal karachi ka. karachi mein dekhiye: "assalam o alaikum min addeen ma wasi". isko padhiye. yani is mein bataya ke har nabbi par wahi ek hi darood utra, wahi deen, same deen.