1:07:26is sitan ki boli jaiz kaise ho jaye gi? Mona, yeh agla sawal aya hai Maulana Farhad Umri sahib ka Delhi se. musalman apne war concept ko sahi sabit karne ke liye yeh hadith bayan karte hain: "main yeh pasand karta hoon ke main Allah ke raste mein qatal kiya
1:07:47jaoon, phir zinda kiya jaoon, phir qatal kiya jaoon, phir mujhe zindagi mile, phir qatal kiya jaoon." Maulana, is hadith ka sahi interpretation kya hai? Dekhiye, yeh sochiye ke kya Rasool Allah sal Allah alayhi wasallam nauzubillah, nauzubillah, munafiq thay? Aap aap yeh keh sakte hain ke jab aap ko pasand tha to aisa kiya kyun nahi? Kitabon se parhiye, aap Rasool Allah sal Allah alayhi wasallam kabhi
1:08:14bhi jang mein shareek nahi hote thay. bahar un ka ek areesh lafz ata hai, areesh kehte hain jhopra. battlefield se bahar ek areesh banta tha, jhopra. is mein rehte thay.
1:08:31aap kabhi talwar le kar Uhud mein ya Badr mein kabhi khud se nahi lade? To nauzubillah ke aap kahein ke nauzubillah Rasool Allah munafiq thay? Kaha to yeh kiya ? Ulta kabhi lade nahi? Aap kitabon mein parh lijye, aap battlefield mein nahi hotay thay, areesh mein hotay thay jo bahar banta tha, wahan se dekh dekhte thay bas aur dua karte thay, sajde
1:08:52mein dua karte thay. jo log is hadith ko le kar kehte hain, unhein sab se pehle sochna chahiye ke kya nauzub billah, nauzubillah Rasool Allah munafiq thay? Kaha kuch kiya? Kuch is liye aap ko is hadith ki aisi tafseer karni padegi jis mein rasool allah yeh saabit na hota ke naoozubillah rasool allah munafiq thay. is waqt mein likh chuka hoon is hadith ke baray mein, likh chuka hoon. aap is ko parh sakte hain. We will end the session now.