Islam becoming stranger explanation
“In hadith it is said that Islam will become a stranger, as it was a stranger at the beginning. Please explain this.”Asked by مولانا اقبال عمری, تمل ناڈو
He answers at 21:34 in Discovery of God (In Conversation with Maulana) · 4 min 59 sec
21:34maulana, agla sawal bhi tamil nadu se hai. maulana iqbal umri ka. unhon ne poocha hai: "hadith mein aya hai ke islam ajnabi ho jayega, jaisa ke woh pehle ajnabi tha. is ki wazahat farmayein." main samajhta hoon ke yeh ek ek allah rasool allah ne ek warning di thi, warning ek intibah tha ke jo aam taur par insan jin cheezon ka shikar hota hai, us se musalman shikar na hon. lekin wahi ho gaya amalan, kyunke dekhiye, islam shuru hua to woh dawat tha, dawat, dawat, dawat.
22:26us ke baad kya hua ke islam ki hukumatain hukumatain ban gayeen. to ab political activism shuru ho gaya. islam shuru hua to daawa activism se shuru hua, daawa activism. phir aage political activism, yani political expansion, hukm, yani hukm mulkon ko qabza karo aur futuhat ko badhao. yeh agaya to islam abdan tha, daawa activism. us ke baad banda kaha political activism. jab political activism hua to daawa khatam ho gayi. ab sara nishana badal gaya, nishana ek hukumat ka kaam karna aur mulkon ko fateh karna, yeh nishana ho gaya. yahi ajnabi hone ka matlab yeh hai ke dawat chali, khatam ho gayi.
23:10islam kabhi ajnabi is silsile mein nahi hua ke quran na rahe, islam ka charcha na rahe, log apne ko musalman na kahein. is sense mein kabhi khatam nahi hua. jo cheez khatm hui, woh dawat. to mein samajhta hoon ke jo ajnabi jo cheez hui thi, woh dawat ajnabi hui thi. kabhi bhi aisa nahi hua ke musalman namaz ajnabi ho jaye, hajj ajnabi ho jaye, roza ajnabi ho jaye, quran ajnabi ho jaye. aisa to kabhi hua nahi. jo ajnabi hui, woh dawat. kyun? dawat ke liye ek doosre ki khair khwahi karna chahiye. aur political activism, sargharmiyan jab aati hain to khair khwahi khatm ho jati hai. kis ke liye hum dawat dein?
23:52is ko to hum maar kar ke is ka is ko qabza karna hai, is ke upar. to dawat ki jo nafsiyat hoti hain, woh sab hoti hain mabni par khair khwahi. aur jab politics aa jati hai to khair khwahi khatm ho jati hai. to khair khwahi jab khatm ho gayi to dawat ajnabi ban jayegi. to mein samajhta hoon ke is mein rasool ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne warning di thi, peshangoi ke andaaz mein ke baad ko islam musalmanon ko hukumatain mil jayengi to dawat ka zehan un ka khatm ho jayega. dawti islam un ke liye ajnabi ban jayega. ab musalmanon mein kya hua ke pehle to yaani political activism, political sargharmiyan aayin, is se dawat ajnabi ho gayi.
24:38ab jab in ka empire toota, yaani western nations ke urooj ke baad, to ab kya hua ke negative activism aa gayi, yaani ladna in se apni hukumaton ko chheen ne ke liye. ladai, ladai, ladai chal rahi hai. to islam pehla tha daawa activism, phir hua political activism. ab aa gaya negative activism, negative activism. to ab ab jo revolve karna hai, revolve yeh karein ke daawa activism phir se laya jaye, phir se is daawa activism ka daur laya jaye. to mein samajhta hoon ke muslim tareekh inhi chaar dauron mein bati hui hai: daawa activism, political activism, negative activism. ab jo ek hisse mein hum hain, ab hamein lotna hai is ki taraf, dawat ki taraf.
25:33dobara hum ko daawa activism par lagana hai. yahi hai fateh al gharaab, jahan tak mein samajhta hoon. kyunke aap ghor kijiye ke musalmanon mein ajnabi hui kya cheez? ek hi cheez ajnabi hui, is se dawat. aur to kuch bhi ajnabi nahi hua, sab bilkul well known hai. to baad ko jo halaat paida hue, un halaat mein musalmanon ne woh nafsiyat kho di, jis nafsiyat ke tehat dawti kaam hua karta hai. to is nafsiyat ko phir zinda karna aur phir se ummat ko dawat par khada karna, jo log karenge, unhi ke liye hai fateh al gharaab. to islam shuru hua to dawat par tha, woh baad ko woh politics par aa gaya, phir negative activities par aa gaya. ab hamein karna hai ke phir do bar hum ko, yaani is dawat wale islam ko zinda karna hai.
26:30yeh mein samjhao. maulana, yeh sawal aaya hai patna se mister anwar imam ghazali ka. unhone likha hai: "i would like to know how one can make it easy for oneself to defer the gratification of desires till the post death period, especially today when one sees possibility of instant gratification all around."