35:56maulana inayatullah umri ka bangalore se sawal aaya hai. unhon ne likha hai: "jamhooriyat ko is islam ki matlooba cheez kyun samajhte nahi hain? kya is mein samjha jata hai ke ghair khuda ka qanoon manna padega?" yeh dekhiye, ghair khuda qanoon manna ya na manna, yeh yeh yeh yeh yeh nazariya aap apne aap mein ghalt hai. kyunke ijtimai zindagi mein koi ideal nahi chal sakta. agar aap yeh ek ideal bana lein ke ke ke ijtimai zindagi mein khuda qanoon ko nafiz hona hai, to is mani ke aap badu nafiz karna chahenge, to badu nafiz karenge, idhar se bhi aadmi jawab dega, to larai shuru hogi.
36:46is ka nateeja larai hoga. to ijtimai zindagi mein islam ka nazariya yeh hai ke jo qabil amal hai, us ko ikhtiyar karo. aap dekhiye, hazrat yusuf alaihissalam ne badshah, yani jo badshah tha, woh mushrik tha. woh mushrik badshah ko tasleem kar liya. unhon ne takrao nahi kiya us se ke tum woh karo, badlo apna mazhab, badlo apna aqeeda, badlo. to ijtimai zindagi mein dekhiye, adjust karna padta hai. adjustment ijtimai zindagi mein agar yeh is ko ikhtiyar karenge, aap to siwaye larai ke aur kuch bhi nahi. apni zaat ke mamle mein aap ideal baniye. ijtimai zindagi mein aap ko adjust karna padega. kuch aap ki baat maani jayegi, kuch un ki baat maani jayegi.
37:32dusra option nahi hai. option agar aap is ko na manen to is ke baad kya hai? larai, khoon khoon kharaba. maulana, agla sawal gulbarga se aaya hai mister abdul ghani ka. unhon ne likha hai: "mujhe is baat ka kaise ilm hoga ke mere andar kibr paida ho raha hai?