39:46maulana, inka ek aur sawal hai. Unhone likha hai ke is spirit aur form ki istilaah mein farq kya hai? istilaah acha term. Istilaah ka matlab term. bhai, spirit jo hai, woh inner content ka naam hai aur form outer content ka naam hai. yani jise ibadat hai, ibadat yani dil ke andar khushu jo hota hai, woh hoga spirit hai iski.
40:22aur kharij mein aap rooh ko sajda karte hain, uska form hai. To Islam ke jitne bhi aamal hain, jaise aap ne kaha la ilaha illallah, yeh bhi uska ab ek form hai. kuch alfaaz aap bole aur uski spirit yeh hai ke aap ko yani Allah ka khauf aap ke andar aa gaya, Allah ki mohabbat aap ke andar aa gayi, Allah ki azmat aap ke dil mein aa gayi. to inner content ka naam hai spirit aur outer jo jo uska yani pehlu hai, uska naam hai form. maulana, agla sawal aya hai Maulana Israr Umri ka Tamil Nadu se. Unhone likha hai: "Azadi ko misuse karne walon ke darmiyan aman kis tarah qaim ho sakta hai?