7:26Maulana, yeh agla sawal hai Mr Shah Imran Hasan Delhi se. woh pooch rahe hain ke urs ka phenomenon kya hai? aisa aisa kya hai ke itne saare log urs karne jate hain? is ki haqeeqat kya hai? kal parson main TV par dekh raha tha, ek urs chal raha hai aaj kal. to is mein koi TV wale is se interview le raha tha. to jis se poochta tha woh, aam taur par log yahi kehte the, "yahan hamari sab muradein poori ho jati hain. sab hamare masle hal ho jate hain.
8:10jo hum mangte hain, Huzoor se woh sab mil jata hai hum ko." yeh hai raaz ke galat ya sahi yeh phaila diya gaya hai ke yahan par aaoge to tumhari sab muradein poori ho jayengi. main is ko kehta hoon false hopes business. koi dargah ya koi qabar kisi ke murad ko poora nahi kar sakti. bilkul hi yeh absurd baat hai. lekin yeh afwah phaili hui hai. to yeh false hopes business hai. logon ko yeh yani farzi yaqeen ho gaya hai ke yahan hum aayenge to hamara sab poora ho jayega.
8:51mujhe apne gaon ka qissa yaad aata hai ke hamare gaon mein ek sahab the, ab un ki death ho chuki hai. to woh dargahon mein jaate the, yaani qabron, jahan qabrein hoti hain wahan par. to hamare ghar mein, hamare gaon mein ek sahab the jo bohat hi shariyat wale aadmi the, un ka bhi intqaal ho chuka hai. to unhon ne is se kaha jo jaate the dargahon mein ke yeh jab qabron mein jaate ho to wahan qabron mein ja ke tum mangte ho, muraden mangte ho, yeh to galat hai Islam mein. to woh sunte sunte sunte sunte us ne chila kar kaha, "hum to jayenge, hum ko faida hai." yeh keh ke chala aaya woh. yaani woh buzurg se, us jo buzurg samjha rahe the us ko, woh buzurg se us ne kaha ke "hum to jayenge, hum ko faida hai." to yeh jo hai false hopes business hai. koi buzurg, koi qabar, koi dargah aap ko one percent bhi koi faida nahi pohncha sakti hai. namumkin baat hai.
9:49bilkul hi yeh absurd baat hai yeh. lekin ek afwah phaili hui hai. log daude chale ja rahe hain. jis se bhi poochhiye aap yahi kahega. ek baar to ab mein safar kar raha tha train mein to Pakistan ke kuch log mil gaye jo dargah ja rahe the. yaani dargah se loot rahe the woh. to unhon ne poocha ke wahan gaye the aap kis liye? to unhon ne bataya ke meri, yaani Pakistan ka tha woh aadmi, ke meri kitni betiyan hain, abhi to un ki shadi nahi hui hai, wahan mein ne arzi laga di hai ja kar ke. yaani wahan par dargah mein likh kar diya hoga ke bhai itni betiyon ki shadi ho jaye aur mein chadar chadhau ga ya itna degh pakwao ga, khilao ga.
10:35to yeh sara mamla hai false hopes business ka hai. kyunke hamara aqeedah hai ke sirf Allah nafe o azaar hai. jo kuch hota hai woh Allah ki taraf se hota hai. kisi qabar wale ko, kisi dargah wale ko. yeh ikhtiyar hi nahi ke woh kisi ko faida pohncha de. lekin ek phaila hua hai. hindu India mein hai zyada tar hai, bahar nahi hai yeh sab. yeh jo phenomena hai yeh India ka phenomena hai. maslan jo jaise log jaate hain mandiron mein aur woh un ke jo hote hain bare bare maqamat, teerath, theek wahi hai, yeh bhi yeh mamla hai. hindu log wahan jaate hain is liye ke agar wahan chale gaye, wahan darshan de diya, wahan kuch chadhawa chadhawa diya to un ki murad poori ho jayegi. aise samajhte hain musalman ke yahan chale gaye, wahan chadar chadhawa di to hamari murad poori ho jayegi.
11:30to mein is ko false hopes business samajhta hoon, is ke siwa kuch nahi. maulana, das question is from miss sadia khan from new delhi. how can somebody become one man to mission? it is often difficult to draw the line. that is, it is difficult to balance work and missionary activities. dekhiye, har ek se, har ek ko aisa nahi karna hai ke woh one man one mission bane. har ek ko nahi karna hai.
12:16har ek ko to sirf one man to mission banna hai. yaani koi koi aisa aadmi hota hai ke apne ko dedicate kar deta hai. to woh to koi karoron mein ek hota hai. baqi logon se wahi one man to mission hi matloob hai, wahi bas. ke fifty percent, fifty fifty ka woh rakhen. fifty percent aap ne khana kamana, fifty percent dawat ka kaam karna. one man one mission jo hai sab log nahi ho sakte. yeh impossible hai. ab kyunke is ke liye, is ke liye to bas sirf yeh hai ke ek junoon chahiye, ek madness chahiye.
13:00to sab log agar mad ban jayen to dunya ka kaam hi khatam ho jayega. to koi koi aisa hota hai jo one man one mission ban jata hai, baqi to wahi one man to mission wale hote hain. aur woh bhi Allah taala ke haan maqbool bande hain, un ko bhi Allah taala ke haan inaam milega. das question is from doctor muslima siddiqui from new delhi. what is the islamic way of repentance? can we be forgiven by lord for our bad deeds committed in the past? kindly comment.
13:40dekhiye, Quran mein hai ke jo tauba karta hai to us ki tauba maaf ho jati hai. tauba ka maani hai lotna, paltna. to toba ke liye ulama ne teen shartein batai hain. toba, toba mein is ko english mein keh sakte hain woh introspection, repentance, introspection. to toba ki teen shartein batai hain. number one, nadamat. al tobat al naddm kaha gaya hai. yani repentance. ke bohat ziyada ehsas ho ke maine ghalati kar dali. bohat ziyada ehsas ho ke maine ghalati kar dali. bohat ziyada ehsas.
14:27isi ko hum repentance, yani pehli shart hai, sab se bari shart balkeh hai, repentance. yeh hadith mein aata hai ke al tobat al naddm. ke toba ki harkat nadamat hai, sharmindagi hai. doosri cheez kya hai ke yeh, yeh ahad karna hai ke ab mein aisa nahi karunga. yani ek hai sharminda hona, doosra yeh ke yeh tay karna hai ke ab mein aisa nahi karne wala hoon. ek baar to ghalati ho gayi, ho gayi. once was inf. teesri shart yeh hai ke agar insan ka muamla hai, maslan insan ka hum ne paisa loot liya hai. to uska paisa lotana, us ko maar kar zakhmi kar diya to uska dawa ilaj ka intizam karna,
15:14compensate karna. yeh khuda ke muamle mein hua to us ko hum compensate nahi kar sakte. insan ke muamle mein agar hua to hum compensate karenge. to toba ki teen shartein hain. number one, nadim hona jis ko repentance kaha jata hai. doosra, yeh pakka irada karna, bohat hi determination ke sath ke ab mein aisi ghaltiyan nahi karunga. khuda aap mujhe maaf kar de. aur teesra yeh hai ke agar insan ke sath ghalati hui hai aur insan ko koi nuqsan pohanchaya aap ne to compensate karna hai us ko. yeh teen shartein hain. aur jo aadmi yeh shartein pura kar de to khula hua hai, quran majeed mein likha hua hai ke us ko Allah taala maaf kar deta hai.
16:06maulana, agla sawal raipur se mr idrees ka hai. woh yeh janna chahte hain ke zaeef hadith kis ko kehte hain? likh ke bheja hai ke ise dua nahi bheja hai.