1:05apa, sab se pehla sawal to yahi hai ke shukr ka jo basic matlab hai woh yeh hai ke etraf. lekin is ke kya maani hain, is ko agar aap elaborate way mein hum sab ko samjha saken ke shukr kya hai? shukr jo hai bohat hi zyada important hai quran ki ro se, kyun ke quran mein jo sab se pehli ayat hai woh hai alhamdulillah rabbil alameen. alhamdulillah ke maani hain, aise is ka tarjuma kiya jata hai praise ke maani mein, lekin is ka asal maani hai acknowledgement. yani tamam cheezain jo insan ko is dunya mein mili hui hain, woh khuda ki di hui hain, khuda ki blessings hain.
1:53to khuda ko hamari kisi cheez ki koi zaroorat nahi hai, bas sirf yeh hai ke hamein khuda ka shukr ada karna hai, aur dil se khuda ka shukr ada karna hai. wohi tamam blessings ki jo hai, wohi price hai. to without paying the price we will become user. user matlab hum koi cheez ko istemal kar rahe hain aur is par hamara koi haq nahi hai. to is tarah se jo alhamdulillah rabbil alameen quran ki pehli verse hai, is se pata chalta hai ke insan ko kitna zyada nematoun ka gehra ehsas hona chahiye.
2:36kyun ke aaj kal jo log hain, woh alhamdulillah chala hua hai, jis ko hum takiya kalam kehte hain, catch phrase kehte hain, is se kaam nahi chalega. woh dil ki gehraiyon se khuda ke liye hamd karna, khuda ki shukr ada karna, khuda ki nematoun ka zikr karna, is ka charcha karna, tab yeh jo hota hai, is ka jo price tabhi hai jab hum is tarah se khuda ki nematoun ka zikr karen. to is tarah se jo hai, hum jabhi hum khuda ki blessings ko hum istemal karne ke qabil thehrenge jab hum is ka poore maani mein is ka khuda ka shukr ada karen.
3:23to shukr jo hai, woh dekhiye sirf alhamdulillah kehne se nahi ho jata, jo aaj kal bohat zyada chala hua hai, balke shukr ke liye hamein bohat kuch sochna parta hai. soch soch kar hamein shukr ke item ko discover karna parta hai, kyunke aisa hai ke hamein har cheez mili hui hai, hamein lagta hi nahi ke hum ko koi Khuda ki taraf se yeh khaas taur par hamare liye aa rahi hai. woh toh har cheez available hai, is mein hum bhi, is mein hamein, is mein hamein bhi hissa mil raha hai. to hamein yeh karna hai ke is ko aisa soch soch ke is tareeqe se samjhein is ko ke sirf hamare liye Khuda ne yeh paida kiya hai.
4:11misal ke taur par jab suraj ki roshni hamein mile to hamein lage ke Allah taala ne yeh suraj ki roshni ka intezam hamare liye kiya hai. tabhi ek bohat bara shukr ho sakta hai, kyunke hum log zyada sochte nahi hain. ek baar aap aaye the Maulana ke paas, ji to Maulana ne kaha ke koi nai khabar bataiye. ji ji to aap ne kaha Maulana aaj toh koi khabar hai nahi hamare paas. ji to Maulana subah ko balcony par baithe hue the to unhone kaha dekhiye suraj nikla hua hai, ji roshni charon taraf phaili hui hai, ji mujhe yaad hai chidiyan chehchaha rahi hain, hawaein chal rahi hain, to yeh sab koi news nahi hai.
4:54jeem ji to har waqt woh sochte rehte the ke kya kya Khuda ki blessings hain jis ke liye hamein shukr ada karna hai. to har waqt ek nai nai nai nai blessings ko woh discover karte the. woh sab kuch bohat zyada sochne se hota hai. to hamein apne andar soch ki faculty ko develop karna hai, tabhi hum sahi maano mein Khuda ka shukr ada kar payenge. ji
5:22apa bilkul aap ne bohat achhe se wazeh kiya ke soch ki faculty ko develop karna hai. agar dekha jaye to shukr jo hai ek misbat nafsiyat paida karta hai, ek positive thinking paida karta hai, aur mukammal taur par woh ek negative psychology ko khatam karta hai. aur hum yeh jante hain ke positive thinking hi taraqqi ka raaz hai. negative thinking se aap taraqqi hasil nahi kar sakte. achha apa agar nashukri ke bare mein sochein to yeh kaha ja sakta hai ke is ka jo source hai woh yahi hai ke shaitan ka behkawa. jab Allah taala ne Adam ko create kiya to unhone sabhi jinon aur farishton ko woh sajda karne ke liye kaha. farishte foran sajde mein gir pade, lekin Iblees ne inkar kar diya.
6:13aur is ke baad Iblees ne yeh challenge kiya Khuda ko ke main in ke upar aage se aaunga, peeche se aaunga, dayein se aaunga, bayein se aaunga ga, aur you will find most of them ungrateful. to yeh jo challenge throw kiya apa us ne, aur wahin pe hum ek farishton ka bhi example dekhte hain. to main chahunga ke is ke hawale se bhi aap is is topic ke upar thori roshni dalo. hmm, yeh Quran mein yeh baat aayi hai ke jab in in Allah taala ne Adam ko paida kiya to Allah taala ne hukum diya farishton ko aur jinon ko ke Adam ke aage sajda karein ge, matlab Adam ke aage jhuk jayein.
6:59kyunke insan is dunya mein aaya hai, woh bohat kamzor makhlooq hai, us ko bohat zyada support chahiye. to unhi farishton ke support se yeh poori dunya chal rahi hai, insan ke tamam kaam chal rahe hain. to is ka ek alamati taur par Allah taala ne hukum diya tha ke sab log jo hain Adam ke aage surrender karein. to surrender is liye ke Allah taala ne sab se pehle to shaitan ko, shaitan to baad mein bana jab woh nashukri ki, us ne matlab jinon ki takhleeq ki. to jin bohat hi zyada strong the
7:36un ko aag se paida kiya gaya tha. to unhone zameen mein bohat zyada khoon kharaba kiya. to Allah taala ne faisla kiya ke ab doosri makhlooq paida karenge, aur woh bohat zyada is ke andar bohat zyada aqal diya insan ko ke soch soch kar sab kaam karega, shukr ada karega. aur woh itna zyada sakht nahi tha, kyunke insaan ko mitti se paida kiya gaya tha. to woh bohat aasani se Khuda ke aage submit karta hai, Khuda ke aage surrender karta hai. to is liye Allah taala ne kaha ke shaitanon se, jinnaat se ke woh jhuk jayein. lekin woh nahi jhuke, woh is liye nahi jhuka. Iblees ka Quran mein aaya hai ke ana khairun min. mein is se behtar hoon, yaani mein aag se paida kiya gaya hoon, aur insaan jo hai woh mitti se paida kiya gaya hai.
8:34to is se pata chalta hai ke is ka jo pride tha, woh yahan manne aya, woh rastay mein aa gaya. pride to us ne pride ki wajah se Khuda ke hukum ka inkar kiya. yahan ek aur baat hai samajhne ki ke hamein Khuda ka hukum manna hai. agar Khuda keh raha hai sajda karne ko to hamein sajda karna hai, Khuda keh raha hai jhukne ko to hamein jhukna hai. yeh nahi sochna hai ke hum to Khuda ke aage jhukte hain, hum insaan ke aage kyun jhukein? to Khuda ke aage, Khuda ke hukum ke aage hamein tasleem kham kar dena hai, hamein jhuk jana hai. to lekin us ne kaha jab woh, jab Allah taala bohat zyada ghazab nak hue shaitan par ke us ne Allah ka hukum nahi mana, to us ne kaha ke yeh insaan ke liye,
9:25insaan to bohat hi kamzor makhlooq hai, mein to is ko saare ko behka doon ga. to us ne kaha ke jo khaas baat us ne kahi ke bohat kam logon ko aap shukr karne wala payein ge. to is ka matlab hai ke shukr jo hai woh bohat hi zyada important hai hamara Khuda se taluq banane mein. to kyunke shaitan bohat zyada zaheen tha, us ne is baat ko pakad liya ke yeh jo insaan hai, is ke andar desires bohat zyada hain, aur yeh desires jo hain kabhi bhi saari desires kisi ki bhi poori nahi hoti.
10:04to yeh desires ki wajah se yeh skam kar jaye ga, aur yeh gunah kare ga, aur Allah ki nafarmani kare ga. to us ne kaha ke mein tamam logon ko tere rastay se hata doon ga, nashukra banaoon ga, aur tu in logon ko shukr guzar nahi paye ga. to is ka us ne woh bhi kiya jo Allah taala ne hukum diya tha ke ek tree hai jannat mein, us ka phal tum mat khana. to
10:35chunki insaan ke andar bohat zyada desire hai, aur woh ek ideal, har ideal ki talash mein hota hai, to shaitan ne us ko behkaya ke tum agar yeh phal tum ne kha liya to tum amar ho jao ge, everlasting life tum ko mil jaye gi. to unhon ne woh phal kha liya, phir is ke baad woh jannat se nikal kar is dunya mein bheje gaye. to is tareeqe se shaitan ne usi waqt kaha tha ke sirf woh log tere rastay par chalenge jo tere mukhlis bande hain, yaani jin ko tu ne select kar liya hai. to wohi log sirf rastay par tere chalenge, baqi tamam logon ko mein behka doon ga.
11:26a. to yeh bohat hi zyada serious baat hai ke shaitan ne yeh baat kahi ke tu in logon ko shukr guzar nahi paye ga. to shukr guzari jo hai woh bohat zyada important hai. shukr guzari hi ke zariye se hum Khuda ki marzi ko samajhte hain, Khuda ki marzi ke mutabiq apna amal karte hain, aur isi rastay mein hamein Khuda ki saari blessings milti hain. ji
11:58apa to jis tareeqe se aap ne bataya, ab ek sawal yeh bhi aata hai ke ek insaan ke liye kitni zyada mushkilein barh jati hain ke ek shaitan hai jo is taaq mein rehta hai ke us ko kaise seedhe rastay se hata de. to in sab mushkilon ke bawajood kaise insaan apne andar shukr ke jazbat ya shukr ki feeling ko paida kar sakta hai, us ke baray mein batayein. shukr ki feelings wahi hain ke insaan jo Khuda ki jo us ko blessings mili hui hain, unhi par ghaur o fikr kare, un ko discover kare. yeh hazaron lakhon blessings insaan ko Khuda ki taraf se mili hui hain, lekin chuki jaise hum ek bachcha duniya mein aankh kholta hai, woh dekhta hai ke har cheez us ke liye available
12:51hai, us ke maa baap hain, us ke rishtedar hain, us ke bahar sari cheezain jo hain us ko support kar rahi hain, aur har cheez us ke liye available hai. market hai, wahan sab cheez us ko available hai, to woh use to ho jata hai. Us ko lagta hai ke yeh sari cheezain to bas mil rahi hain, hamare paas paisa hai, hum ja ke market mein cheezain khareed lete hain. to aisa nahi hai, hamein bohat ziyada ghaur o fikr karna hai ke har cheez hamein Khuda ki taraf se mil rahi hai. Khuda ne tamam cheezon ko is duniya mein potential ke roop mein rakh diya hai.
13:29insaan kya karta hai? Sirf in potential ko actual banata hai. To hum kehte hain ke scientists jo hain woh inventor hain, scientists bhi inventor nahi hain, woh sirf discover karte hain. Allah taala ne har cheez is duniya mein potential ke roop mein rakh diya hai. Ab scientists ne mehnat kar ke us ko discover kiya, aur tamam poori jo ek civilization banai, tarah tarah ki technology banai jo aaj hamare kaam aa rahi hai. to insaan in cheezon ko soche. Misaal ke taur par insanon ne car banai. Ab agar petrol na hota to car kaise chalti? to Allah taala ne petrol ke khazane bhi zameen ke neeche daal diye ke Allah ko pata tha ke kal car banegi, kal hamari industries banengi, carkhane banenge, to is mein un ki zaroorat padegi.
14:24to Allah taala ne kaha ke Quran mein aaya hai ke hum ne har woh cheez tum ko de di jis ki tumhein zaroorat thi, aur isi sath mein yeh bhi hai ke aakhirat mein har woh cheez tumhein milegi jo tum desire karoge. to duniya mein har zaroorat ki cheez Allah ne di, aur aakhirat mein woh jo bhi hamari desires hongi, us ke mutabiq hamein milega. to shukr ki feeling jo hum Maulana ne sikhaya, hum logon ko ke soch soch kar hamein apne andar shukr ki feeling paida karni hai.
14:58ek ek cheez hamein sochna hai ke yeh Khuda ki di hui hai. Agar Khuda hamein nahi deta to hamein nahi milta. Khuda hi sare asbab paida karta hai. kai baar aisa lagta hai ke ke is yeh achaanak ho gaya jo hum expect nahi kar rahe the, aur har taraf se woh Allah taala hi ki taraf se woh sara muqaddar hota hai, wohi hamein mil mil raha hota hai. to us ko hum ne sochna hai, ghaur o fikr karna hai. Main ek misaal se wazeh karti hoon ke ek Meerut mein ek Shahzad sahib the, to un ko halq ka cancer ho gaya tha. Woh hamare mission ke the, bohat ziyada mission ke liye kaam karte the. Jee to woh kuch bhi kha bhi nahi sakte the, jo advanced stage mein pani bhi nahi pi sakte the.
15:45chamche se pani pilaya jata tha. To jab un ko log dekhne ke liye aate the to woh kehte the ke aap aap mujhe dekh kar aap kya sabak le rahe hain? aap yeh sabak lijiye ke aap shukr ada kijiye ke aap kha sakte hain, aap pi sakt e hain. Main to mera khana jo hai, main zara bhi ek do chamche bhi khana khata hoon to mere hazam hi nahi hota, pait mein hi rakha rehta hai. To aap kha sakte hain, aap pi sakte hain, aap Khuda ka shukr ada kariye. ab din bhar log khate peete rehte hain, woh sochte nahi ke yeh Khuda ki taraf se yeh jo hamara digestive system hai, woh Khuda ne banaya hai,
16:23aur hum khali mun mein khana rakhte hain, aur andar woh khana hazam kar ke woh hamara gosht, khoon, aur sari sare cells bante hain, jis se hamari sare kaam hote hain. to sochna padega, baghair soche hue hum bilkul janwaron ki tarah zindagi guzarenge, aur mar jayenge, aur aakhirat mein pachtane se kuch hoga nahi, kyunke yeh duniya hi hamare liye mauqa faraham karti hai ke hum kaam karein, aur is ke mutabiq jo hum amal karenge, usi ke mutabiq aakhirat mein hamein ek nayi zindagi milegi. to insan jo hai, jis ke paas sab kuch hai, woh bhi nashukra hai,
17:07jis ke paas nahi hai, woh bhi nashukra hai.aisa aisa is liye ke insan aik aisi makhlooq hai ke woh har cheez aik ideal sense mein chahta hai, aur dunya mein ideal us ko milta nahi. dunya mein chounke yeh dunya jo hai, aik test ke tor par banai gayi hai, logon ko freedom di gayi hai, is freedom ko log kuch log use karte hain proper, kuch log misuse karte hain. ab jo log misuse karte hain, is se hamein takleef phochti hai. sab ke alag alag interest hain, to har aadmi jab apna interest follow karega to doosre ka nuqsan hoga. to is tareeqe se kabhi bhi aisa nahi hota ke tamam cheezein jo hum chahte hain, woh hamein mil jayein. to hum hamesha nashukri mein hi rehte hain.
17:54yeh nahi ke jo kuch hamein mila hua hai, is ka shukr ada karein, kyunke agar hum is ka shukr ada karein ge to Allah taala khush hon ge, aur hamein aur zyada dein ge. lekin hum shukriya nahi ada karte, jo kuch mila hua hai, usi ka shukr nahi ada karte. to Allah taala ne jo Quran mein kaha hai ke lan shaqartum la azeedannakum agar tum shukr ada karo ge to hum tum ko aur zyada dein ge. to hamein dekhna hai, aur hadith mein aaya hai ke apne se kam ko dekho. ab is ki aik achi misaal hai, Sheikh Saadi jo hain, aik bohat bare shayar hain Iran ke, medieval world ke shayar hain.
18:38to woh unhon ne is tarah ki hikayatein likhte thay, stories, moral stories. to unhon ne aik story likhi hai ke mere paon mein joota nahi tha, aur main chal raha tha, aur bohat ghamgeen tha ke mere paas joota nahi hai. to aage ja gaya to dekha to aik aadmi ke paas paon nahi hai. to main Khuda ka shukr ada karne laga ke Allah taala ne mere dono paon sahi salamat banaye hain. to is tareeqe se hamein soch soch kar ke hamein Khuda ki taraf se kya mila hua hai, is par hamein shukr ada karna hai. agar hum sochein ge nahi to phir hum proper maani mein shukr nahi ada kar sakte. ji, bohat achhe se aap ne is ko wazeh kiya, aap.
19:21aur in fact, mujhe bhi yaad aa gaya Shehzad sahib ka qissa. in fact, hum un se pehle bhi mile thay, aur jab un ka inteqal ho gaya tha to Maulana ka bhi safar hua tha, aur Maulana phir un ke bete se mil kar un se gale lage thay. aur aik martaba meri un se baat hui thi jab woh bohat zyada dard mein thay, to unhon ne kaha tha ke "Raza sahib, jahan aik insan ka dard peak level pe hota hai, wahan se mera dard shuru hota hai." to is qadar woh dard mein thay, lekin is ke baad bhi un ki itni musbat soch thi, kyunke Al-Risala ko regularly padhte thay, Maulana ko bohat zyada follow karte thay, bohat mante thay. to yeh kehte thay, jaise aap ne bataya ke "aap mujh ko dekh kar shukr karein, jo bhi un se milne aata tha ke aap pani pi sakte hain, aap khana digest kar sakte hain, aap dekh sakte hain, aap chal sakte
20:13hain. main to is bistar se uth bhi nahi sakta." to hota yahi hai, apa, ke insan aksar cheezon ko for granted le leta hai. Maulana jaise kehte thay ke "har aik insan ko 99 percent mila hua hai, lekin sirf 1 percent nahi mila hai." aur yahi Shaitan ka maamla tha ke us ko sab kuch mila hua tha, sirf woh aik 1 percent jis pe Allah taala ne kaha ke "tum sajda karo", to us ne inkar kar diya, aur woh aik ungrateful, ungrateful qarar diya gaya. to stress, zindagi mein jo stress hota hai, is ka bhi karan yahi hai ke mile hue ko chhod kar insan aksar jo cheez nahi mili hui hai, us ke peeche bhagta hai. to apa, yeh jo yeh jo cheez hum dekhte hain ke hum agar human civilization ko bhi dekhein ke kaise progress hui hai, from stone age to present industrial age, aur aap ne jaise abhi zikr bhi kiya ke Quran mein aaya hai ke hum ne woh sari cheezein insan ko de dein jo us ki zaroorat hai.
21:11to woh sara saman aaj ki date mein hum agar dekhein to hum motor gaadi mein baith kar ja sakte hain, hawai jahaz se aik jagah se doosri jagah phoch sakte hain, telephone se kisi bhi dunya mein aik insan se connect kar sakte hain. to kyun aik insan cheezon ko for granted leta hai ؟ aisa kyun hai ke us ki aankhon ke samne sari cheezein maujood hain? woh agar peeche mud kar dekhe to woh paye ga ke us ke paas sab kuch hai. to aisa kyun, apa? Khuda asal mein invisible hai, woh cause and effect ke tehat kaam kar raha hai.
21:44ji, to hamein lagta hi nahin ke khuda ki taraf se yeh kaam ho raha hai. sahih, hamein lagta hai hamari mehnat hai, hamare maa baap ki mehnat hai, hamare doosre logon ki mehnat hai. woh mehnat se woh kaam ho raha hai hamara. hum ne mehnat ki, hum ne taleem hasil ki, hamein acha job mil gaya, aur is ki wajah se hamare saare kaam chal rahe hain. to hamein is jo asbab ka jo parda hai, is ko pharna parega. to tabhi hum samajh sakte hain ke khuda jo hai, sab kuch khuda kar raha hai, insan nahin kar raha hai. isi liye bar bar aisa Allah taala dikhate hain, aur khas tor par bare bare logon ko dikhate hain. jaise abdul kalam speech de rahe the, speech dete dete ek dam se woh gir pade, un ko heart attack ho gaya aur khatam ho gaye.
22:35to Allah taala dikhata hai ke dekho, khuda ka hukum tha, is liye woh bol rahe the. ab khuda ka hukum khatam ho gaya to un ka bolna bhi khatam ho gaya. to aise bar bar hota rehta hai. to hum ko bohat hi gehri nazar chahiye, baseerat ki aankh chahiye, jo hum dekh saken ke yeh sab kuch khuda ki wajah se ho raha hai. aur tamam jo cheezein hain duniya mein, farz kariye ke hamein khane peene ka saman chahiye, hum bazaar mein jaate hain, hamein mil jata hai. aur farz kariye ke abhi drought ho jaye, barish hi na ho kahin, to hamein kya milega? khuda barish barsa raha hai, is se
23:15ghalla ug raha hai, ghalla market mein aa raha hai. ab hamara ek percent is mein hai ke hamare paas paisa hai, aur woh woh ek percent bhi nahin hai, woh bhi khuda ki wajah se hai, aur hum ja ke is se bazaar se saman khareed lete hain. to yahi sab sochna parega ke har kaam jo hai, woh khuda kar raha hai. hum chal bhi rahe hain to khuda chalwa raha hai, kyun ke agar zameen mein gravity na ho to hum chal nahin sakte. jaise log jaate hain chand pe to woh chal chal nahin sakte hain, uṛte hain to hawa mein teirte hain. to is tareeqe se agar hum gehri gehrai se sochen, tab hamein lagega ke har kaam khuda karwa raha hai. to hum agar khuda ka shukr na ada karen to kitni zyada bari yeh evil hai ke hum hum har cheez khuda ki le rahe hain aur is ka shukr nahin ada kar rahe hain, kyun ke khuda ko to kisi cheez ki zaroorat nahin hai.
24:07khuda ko to sirf hamara shukr chahiye, hamari hamd chahiye, hum Allah ko yaad karen. hum to yeh kaam hamein karna hai, warna hum ek user per ki hamari zindagi hogi. aur hum kisi ne, ek arab ne Maulana se kaha tha, ek alaarif ke insan aaj jo hai, ne'maton ko to khoob khoob istemal kar raha hai, aur munim ki is ko khabar nahin hai. munim ko woh janta hi nahin ke munim kaun hai, dene wala kaun hai, sirf ne'maton ko istemal kar raha hai. to yeh duniya mein yeh sab ho raha hai, akhirat mein jab woh pahunchega, tab us ko samajh mein aayega ke sab kuch khuda tha, khuda ki duniya thi, khuda ki tamam cheezein us ne istemal keen, aur khuda ka naam liye baghair.
24:54to us waqt us ko samajh mein aayega, lekin us waqt ka samajhna jo hai, us ke kuch kaam nahin aayega. kaam to isi duniya mein, chunke Allah taala ne is duniya ko paida hi kiya hai ke hamara test ho, to hamara jo test ho raha hai, woh isi duniya mein ho raha hai. to is hamein bohat zyada serious hona chahiye, aur bohat zyada soch samajh kar zindagi guzarni hai. ji, aap ka agla sawal poochne se pehle kuch comment parhna chahunga. yeh comment bheja hai dilli se doctor saniya hasnain khan sahib ne.