44:55allah taala aap ko aur gul zeeba sahiba ko jaza-e-khair ata farmaye. maulana, agla sawal dhampur se aaya hai mehtab sahib ka, aur unhon ne likha hai ke maulana sahib, aaj kal sab se ziyada zor namazon par diya ja raha hai, magar nateeja zero hai. musalman mein koi positive change nahi dikhta. aisa kyun? is ki wajah yeh hai ke namaz ka matlab le liya unhon ne form. jo dua zor de rahe hain, woh form par zor de rahe hain, speed par nahi. aap in ki taqreerein parh ke suniye, in ke program mein jaiye. woh log namaz par zor rahe hain sirf form ke aitbaar se, speed ke aitbaar se nahi. aur yeh hadees mein aata hai ke "masahib amirah wa kharab min al-huda". yeh hadees hai ke aik zamana aaye ga jab ke musalmanon ki masjidain namaziyon se bhari hongi,
45:57lekin hidayat se khali hongi. is ka matlab kya hai? yaani form walay namaziyon se, form walay namaziyon se bhari hongi, aur speed walay namaziyon se khali hongi. yeh hai is ka raaz. maulana, agla sawal bhopal se bheja hai salman sahib ne, aur unhon ne likha hai: "maulana, you have always referred to Hudaybiyyah agreement as peace agreement.