1:00:41Maulana, agla sawal Kolkata se Aftab Alam sahib ne bheja hai. unhon ne likha hai: "bahut bahut shukriya Maulana, aaj ke lecture se Quran ko samajhne ka ek naya darwaza khula. mera sawal hai ke ijtihadi taqat se murad kya hai aur is ka istemal karne ka faisla kaun karega? is
1:01:05ko wazeh karen." har aadmi yeh jhooti baat hai ke koi agar kahega ijtihad ki shart laga hua hai, ek hi shart hai niyat. aap ki niyat agar sachi hai to chahe aap madrasay ke certificate na hon, aap ijtihad ka nikah rakhte hain. Ali, kyunke yeh sabit shuda Hadees hai ke "Innamal a'malu binniyat"
1:01:36har amal depend karta hai niyat par. aap ko ijtihad karna hai, niyat ko pak kijiye, do rak'at namaz padhiye, Allah se dua kijiye. is ke baad aap ko haq hai ke ijtihad karen. aap koi nahi hai ijtihad ko rokne wala.
1:02:00is is tasawwur ne ke ijtihad ko aisa bana diya hai ke ijtihad koi ya'ni woh hai kaat kaatne wali cheez hai. is ko dehati zuban mein kehte hain "katao". ijtihad ka darwaza khula hua hai, sirf niyat ka darwaza band na rakhen.
1:02:24aap khalis niyat, allah se dar, allah ke liye ijtihad. to aap ijtihad ki ghalti agar karen ge tab bhi allah maaf kare ga. agar yeh ijtihad ka darwaza kholna zaroori hai dawat ko aam karne ke liye, hamare log jo is ko phaila rahe hain idhar udhar quran majeed, to sab se bari rukawat yeh aa rahi hai.
1:02:46arey bhai, be-hurmati ho jaye gi! arey bhai, yeh ho jaye ga! arey bhai, woh ho jaye ga! yeh sab bilkul batil hai aur aap ko allah ne wada
1:03:06kiya hai ke " aye bande, teri har ghalti ko maaf karon ga agar tu toba kare to". to darna kis baat ka? maulana, agla sawal lene se pehle comment parhna chahen ge jo muhammad yaqoob