52:30maulana, agla sawal tamil nadu se hai maulana iqbal um ri ka. unhon ne likha hai: "tanqeed aur radd-e-amal mein farq kya hai?" maulana, aap ki ilmi tanqeed ko aur rational tajziye ko ek sahab radd-e-amal ke naam de rahe the. maulana, aisa kyun hai? main khas taur par radd-e-amal ka matlab nahi samajhta, yahi hai. radd-e-amal ka matlab hai reaction. reaction kya hai?
53:03yani jaise restaurant mein farmaya ke la taghzab ghussa na karo. to ghussa kya hai? radd-e-amal hai, reaction hai. kisi ne aap ko provoke kiya, aap ghussa ho kar aap ko patthar marien, that is radeamal. hum jo kehte hain woh to analysis hota hai. yani hamari baat ko aap yeh keh kar agar radd karen to aap ek gunah kar rahe hain. kyunke hum ek daleel de rahe hain, quran o hadith se ek daleel de rahe hain. to aap quran o hadith se is ko radd kijiye. agar aap quran o hadith daleel na den aur kahen ke radd-e-amal hai to yeh to shat b shat mein hai, gaali karo jo jo ke haram hai islam mein.
53:49haram hai islam mein. misal ke taur par main ek misal deta hoon aap ko ke min husn islami al-birr tarkuhu mala yani ek hadith hai min husn islami al-birr tarkuhu mala yani islam ki ki khubi yeh hai ke aadmi us cheez ko chhod de jis mein koi faida nahi. islam ki khubi yeh hai ke aadmi us ki cheezon hain jis mein koi faida nahi. is ka matlab kya hua?
54:28yani mabni bar result aap ka aap aap ki activity honi chahiye. You have in in every situation you have to see the result. result hai to karna hai, nahi to nahi karna hai. ab ek hadith maine pesh ki ke is ko le kar ke musalman jo hain palestine se le kar kashmir tak jo ladai kar rahe hain, woh result less hai. koi nateeja nahin, mar rahe hain, kat rahe hain. abhi jo bangla desh ka maine bataya, koi result iska nahin. aapas mein mar rahe hain, kat rahe hain. aap aap ek aur ayat pesh kijiye iske jawab mein ke nahin, chahe result ho ya na ho, hamein to ladna hai.
55:06ab aap kahein ke reaction hai to yeh to aap to aap to gunah ka kaam kar rahe hain. yaani hum ek daleel pesh kar rahe hain aur aap keh rahe hain ke yeh radd radd amal hai. to aap gaali galoch kar rahe hain. yeh to maine dekha. hadees mein aata hai, dekhiye ke hadees mein aata hai ke man kan yoman billahi wal yawm al-akhir fa la yaqul khayran aw li yusmut
55:41jo aadmi Allah par aur aakhirat par imaan rakhta ho, to usko chahiye ke woh baat kahe to khair ki baat kahe ya chup rahe. khair ke ma'ne kya hain? mudallal baat, rational baat, jo Quran o hadees par mabni baat. to aap aap jo keh rahe hain radd amal, yeh kaun si ayat par mabni hai? kis ayat se nikalta hai yeh? ke koi shakhs daleel se guftagu kar raha ho, aap kahein radd amal, yeh kaun si ayat se nikalta hai? aisa yeh to gaali galoch hai, sab o shat hai, gunah hai, haram hai.
56:21to unhein khud apne bare mein, yaani apne is ko revise karna chahiye, na ke mujh se taqaza karein ke tum revise karo. maulana, agla sawal dhampur se kiya hai mehtab ahmad sahab ne