Maulana Wahiduddin Khan

Why are women not respected enough?

“Women's contribution to improving society is the highest, yet society does not give women the respect they deserve. Why is that?”Asked by Nafees Siddiqui, Delhi

He answers at 57:30 in The Prophet An Example of Modesty · 3 min 49 sec

His answer, in his own words
57:30
molana, agla sawal dilli se kya hai nafees siddiqui sahab ne aur unhon ne likha hai, "moashre ko acha banane mein aurat ka contribution sab se zyada hota hai, phir bhi moashra aurat ko woh ehtiram nahi karta jo use karna chahiye. aisa kyun hai?" is ke bare mein bataiye. bhai, koi ehtiram kare ya na kare, Allah ke nazdeek aap woh insan hon jo Allah ki mansha poora kar raha hai to wahi kafi hai kyunke lena insan se nahi hai, lena to Allah rab ul alameen se hai. aurat hi ki baat nahi hai, mard ka kaun aitraf karta hai? mein ne to aaj tak kisi insan ko nahi dekha ke jo sahi maano mein kisi ke deen ko acknowledge kare. yaqeen keejiyay ke aik insaan nahin jaanta ho, kisi ko kisi se mila ho, kisi ko kisi se faida hua ho aur woh sach much acknowledge kare uss ko.
58:39
main to nahin jaanta, main sirf aik hi misaal mere paas hai, woh scholar misaal hai, scholar mazhabi logon ki misaal mere paas nahin hai. main ne aik qissa bataya tha aap ko ke aik saahab thay abul furqan adum garh ke, to un ke gaon ke aik saahab thay, un ke jaantay thay woh. to woh lag gaye congress mein sanjar gandhi ke zamanay mein aur gaon se nikal kar woh dilli pohnchay. to sanjar gandhi ne un ki salahiyat dekhi, un ki qadar ki aur un ko raj sabha mein bharwa diya. iss ke baad un ko raj sabha ka jo residence hota hai, woh mil gaya jis mein sab kuch hota hai, sara saman, gaadi se le kar se le kar yaani telephone tak. to abul furqan saahab ne bataya mujh ko, mujh se milnay gaye thay woh ke woh saahab jo thay baar baar yeh kehtay thay, "yeh sab sanjar babu ki dain hai,
59:45
yeh sab sanjar babu ki dain hai." yaani flat mein jatay hain, woh aik well furnished flat tha, woh well furnished flat to uss ko dekh ke kehtay thay ke "yeh sab sanjar babu ki dain hai." aisa acknowledgement, aisa etraaf main ne aik hi paya. jitnay mazhabi log hain, deeni log hain, unhein main ne acknowledgement nahin paya. logon ke dil mein hota hoga, munh se bolain, woh to aik hi mujhe mila hai, poori zindagi mein mila hai. to main kya karoon? aurat, aap aurat ki baat kar rahay hain, yeh sab ki baat hai, yeh sab ki baat hai. hamari qaum acknowledge karna jantay hi nahin, aurat ki baat nahin hai, mard ki baat bhi yahi hai. mera tajurba main ne bayan kar ke bhi bohat insaanon ka main tajurba uthaya hai, main ne wohi aik insaan mujhe mila jo kehta tha, "yeh sab sanjar babu ki dain hai." aisa etraaf to khuda ke bhi nahin koi karta, insaan ka kya karay ga?
1:00:53
bas zahir si baat hai, woh ghussa ho jayen gay, zahir si baat hai, woh tanqeed karen gay, zahir si baat hai, woh negative ho jayen gay. koi baray se bara aap ne kisi ke sath sulook kiya ho, woh bhool jayen gay. yeh to hum dekh rahay hain. to haqeeqat yeh hai ke mard aurat ki baat nahin hai, sab ki baat yahi hai, mere tajurbe ke mutabiq. maulana, agla sawal usa se miss kousar izhar ne bheja hai, unhon ne likha hai, "When we totally submit to our creator, we become ojiz and humble,
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.