46:01Masha Allah. Maulana, agla jo sawal hai woh Pakistan se aaya hai Aamir bin Yusuf sahib ka. unhon ne likha hai: "Dunya ki kamyabi mein sakina ka kya role hai?" Maulana, is ko wazeh karen. Dunya ki kamyabi musalman ki manzil hi nahi hai. Dunya mein faqat zaroorat manzil hai musalman ki. yeh bohat bada dhoka hai jis ko kehte hain falah daren. Falah dunya, yeh musalmanon ka eejad kardah hai. Dunya mein aap ko kam par razi hona padega. Simple life par razi hona padega. Faqat zaroorat par razi hona padega. Warna aap jo duty hai, duty, shahadat haq ki aur dawat Allah ki, woh duty aap anjam nahi de sakte.
46:56Khali apni family ke liye jeeyenge aur family ke liye marenge. log kamate hain, bas family par kharch karte hain. yeh to haram se zyada buri cheez hai yeh. Yaad rakhiye. yeh kama kama kar family par kharch karna, yeh haram se zyada bura hai yeh. aap kamaiye aur faqat zaroorat apne liye, baqi sab dawah ke kaam ke liye. Yusallun ka mawad yunfiqun qul al-afiyah. yaani apni kamai mein se faqat zaroorat apne liye lo. baqi sab dawah ke aur shahadat ke liye, Allah ke mission ke liye kharch karo. Baqi jo musalmanon ne khud se bana rakha hai, woh musalmanon ka apna deen hai. woh apna Self-instilled deen hai.
47:45Unhon ne Invent kar rakha hai. woh Allah ke haan accepted nahi hai woh. Maulana, agla jo sawal hai woh Khawaja Kaleemuddin sahib ne kiya hai Pennsylvania se. unhon ne likha hai: "Maulana sahib, The CPS USA and CPS Pakistan has formed a joint discussion group last month.