Maulana Wahiduddin Khan

Combining prayer method and yoga benefits

“A person was giving a speech combining the method of prayer and the benefit of yoga as one.”Asked by مولانا اقبال عمری, چنئی

He answers at 51:11 in The Spirit of Namaz · 4 min 7 sec

His answer, in his own words
51:11
maulana agla sawal bheja hai maulana iqbal umri ne chennai se. unhone likha hai: "maulana sahib, ek sahib namaz ka tarika aur yoga ka faida dono ko ek hi bata kar taqreer kar rahe the. aap aap ka is par kya kehna hai? is ko wazeh karen." mere nazdeek keh aisay log jo
51:36
aisa taqreer karte hain, woh mans marking ke mustahiq hain. Marks marking ek term hai jo exam mein use kiya jata hai ke ek talib ilm ko poocha jaye ke hawajat kaisa hota hai, aur us ke jawab mein woh motor car ki baatein likh dale to marks marking ka mustahiq hoga. Yani woh na car ko janta tha na jahaz ko janta tha. To aise log jo hain, marks marking ke mustahiq hain, woh na yo ga ko jante hain na namaz ko jante hain. yeh yahi mera mera tabsarah hai.
52:20
ji Maulana in ka aik aur sawal hai. unhon ne likha hai keh: "Maulana sahib, aik sahib ne kaha keh form par zor dene walay form mein kamzor rehte hain. Maulana is mein kya mughalta hai? is ko wazeh karen." kamzori rehna chahiye, yeh mughalta hai.
52:35
yeh form mein kamzori rehna chahiye. jo aaj kal bohat zabardast form ka ihtimam kiya jata hai, woh achi baat nahi hai. woh aap sahaba ki namazon ko parhiye, kitabon mein jo likhe hain, un ke halaat form mein woh
52:53
mazboot nahi thay. yeh jo aaj kal chala hua hai keh bohat zabardast form ka ihtimam, woh to matloob hi nahi hai. mein aap ko aik qissa batata hoon. aik waqt Rasool Allah Sal Allahu Alaihi Wasallam namaz parha rahe thay, to aap ne
53:13
jab khade hue, aap rukoo mein to aap ne kaha ke: "Sami Allahu liman Hamidah" jaisa ke hum jante hain. Aap to ek sahabi ka padhe: "Rabbana lakal hamd hamdan kasiran tayyiban mubarakan rafee'an" yani form ko toda. Unhone jo press card form tha, us ko tod kar ke bole: "Yeh to Rasool Allah ne." Namaz khatam hui to poocha ke kis ne aisa kaha tha? To woh aadmi dar gaya ke main ne form ko tora hai, kahin meri namazain na chali gayi hon. jab woh dara hua tha, to Rasool Allah ne farmaya keh jab tum ne kaha yeh to farishtay dor paray is ko lene ke liye keh form kya cheez hai? form convenient item hai.
54:01
namaz ko yaad rakhiye, convenient real nahi hai. jo log form ko bohat ziyada zor dete hain , aisay hath, waisay paon, aisay aankh, woh jante hi nahi namaz kya cheez hai, jante hi nahi namaz kya cheez hai.
54:25
agar yeh in logon ka jo form par zor dene ka tareeqa hai, yeh hota to Rasool Allah kehte hain keh tumhari to namaz hi nahi hui, tum ne to form ko tord diya. to form par aaj kal jo bohat zor diya jata hai, wahi galat hai. yaad rakhiye, spirit par zor dena chahiye.
54:48
form mein thoda sa idhar udhar to ho hi jayega, woh sab ko hota tha, sab ko hota tha. ek baar to hadith mein aata hai ke rasool Allah sal Allahu alaihi wasallam ne namaz padhai aur ghaaliban chaar waqt ki namaz thi, woh chaar rak'at wali. ab do rak'at mein salam pheri aur ja ke wahan khade ho gaye idhar.
55:12
to logon ne logon ko taajjub hua ke kya yeh namaz yaani yeh do rak'at ki ho gayi hai? To phir wapas aaye aap aur do rakat aur padh diya. Yeh kahan hai form? Woh yeh jo aaj kal chala hua hai, form par bada dhoom machate hain, woh bilashubah woh apne aap woh wahi ghalati par hain. Spirit ki dhoom machaiye. Maulana do comment padhna chahenge agla sawal lene se pehle. Pehla comment bheja hai Professor Najm
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.