Palestinian issue vs Sunnah
“Muslims are so much charged about the Palestinian issue that it has become impossible to express the view that the Palestinian stance is completely against the Sunnah of Prophet Muhammad.”Asked by Khawaja Kaleemuddin, Pennsylvania, USA
He answers at 1:02:21 in Importance of Wisdom · 5 min
1:02:21agar is mein erosion nahi hai aur level of feeling mein kami, yaani kabhi hoti hai, kabhi zyada hota hai, kabhi kabhi, kabhi zyada, to is mein koi koi pareshani ki baat nahi hai. it is but natural, yeh to hoga. Maulana, agla sawal Pennsylvania USA se Khwaja Kaleemuddin sahib ne kiya hai. unhone likha hai ke: Maulana sahib, Muslims are so much charged about the pa Palestinian issue that it has become impossible to express the view that the Palestinian stance is completely against the sunnah of prophet Muhammad. what should we do in this regard? yeh to sahi hai, yeh to koi nai baat nahi hai.
1:03:06hamesha aisa hota hai. jo maine qissa bataya aap ko, Siffin ka, woh Hazrat Usman ke qatl par, woh tha, woh jo Hazrat Usman ko unhon ne qatl kar diya tha, to dam Usman ka masla paida hua tha. is par charge thay, woh charge thay, tabhi to mar gaye satar hazar aadmi maar dala ya aapas
1:03:27mein aik doosre ko. to tareekh mein aise waqiat paish aate hain ke log charge hotay hain kisi baat ko le kar ke. Hazrat Aisha nikal padin ke mujhe Usman ke khoon ka badla lena hai. itna zyada un ke andar josh aa gaya Hazrat Aisha ke andar ke dekhiye, literally taur par qaum
1:03:47mein likha hua tha ke gharron mein thehro, yani Ummahat ul Momineen ke baray mein. ae azwaj e Rasool, tum log gharron mein thehro. lekin woh nikal padin.
1:04:06to wahi to hai ke itna charge ho gaye thay log dam Usman ke maslay par, khoon ka badla lena hai, khoon Usman ka. to aise waqiat tareekh mein bar bar paish aate hain. to hamein yahi karna hai ke in ke jazbat ko thanda karein
1:04:23aur in ko aqal dein. aur main samajhta hoon ke poori ummat jo hai, woh is ke is ke paas ikhlas hai, ibadat hai, lekin wisdom nahi hai. har jagah, chahe America ke log hon, chahe India ke hon ya Pakistan ke hon, wisdom se maroof hain.
1:04:44mujhe koi wisdom wala aadmi milta nahi, na hamare ulama ne logon ko wisdom sikhaya. to wisdom ko logon ko logon ke andar aqal ke sath sochna sikhana parega humein. to is ke liye lambi muddat darkar hai.
1:05:03jab tak log logon ke andar aql aur basirat ke sath sochna nahi aye ga, is tarah ke waqiat hote rahen ge. yani kitni khuli hui baat hai ke jab yaktarfa tabahi ho rahi hai to ladai jari rakhne ka kya matlab hai? kis liye ladai? jab yaktarfa tabahi ho rahi hai, yani ek tarfa tor par arab
1:05:21tabah ho rahe hain, to ladai jari rakhne ka matlab kya hai? lekin log jazbat mein hain, sunte nahi. to wahan bhi jazbat mein the. Hazrat Khalid loote the to madine ke musalmanon ne kaha tha ke: ya farar! to rasool Allah sal Allah aleh wasallam ne un ko thanda kiya. to beharhaal logon ke andar art of thinking laani padegi. logon ke andar aql laana padegi. logon ke andar baseerat laana padegi. jo hadith mein aata hai ke momin ki ek sifat yeh hai ke: in yakun basiran be zamana. aur is par time lage ga.
1:06:04lekin mujhe kal kuch logon ke waqiat maloom hue aur arbon ke. to arbon mein ek nai thinking bhi aa rahi hai, yeh bhi sahi hai. ek sahib gaye the Kuwait aur Dubai, woh arbon se un ki mulaqat hui. to nojawan arbon se.
1:06:21to arab mein nojawan on ka ek tabqa hai jo kehta hai: nayi thinking aa rahi hai, yeh is ko badness samajhta hai is policy ko. kal hi mujhe maloom hua. to aisa nahi hai ke sab log, yaani one to all, sab ke sab isi mein beh gaye hon. isi mein aise log nikal rahe hain. ek ek yaani ek naya process shuru ho gaya hai. khud Arabon mein ek naya process shuru ho gaya hai. balkeh unhone bata rahe the woh telephone par ke unhone ke a mere bare mein. to unhon ne kaha ke hum to un ki chezen parhte hain download kar ke aur hum
1:07:03is se milna chahte hain. to is mein shaq nahi ke majority is waqt jazbat mein hai, lekin ek naya process bhi shuru ho gaya hai. aur aise afraad, khas tor par arab nojawanon mein paida ho rahe hain jo is ko badness samajhte hain.
1:07:18woh chahte hain ke nai policy ikhtiyar ki jaye. maulana, agla sawal lene se pehle ek comment parhna chahen ge jo