1:18:29maulana, agla sawal maulana iqbal umri ka hai chennai se. unhon ne likha hai ke: kya ikhlas aur wisdom mein farq nateeje ko samne rakh kar hoga? maulana, yeh workable ikhlas kya hai? workable ikhlas? ji.
1:18:50main samjha nahi ke workable ikhlas ka matlab kya hai. maulana, jo pehla hissa hai un ke sawal ka. dekhen, sahi baat yeh hai ji ke ikhlas hai ek shakhsi sifat. yani individual quality hai ikhlas. lekin jab aap rahen logon ke sath jamaati zindagi mein to ikhlas harghiz kafi nahi hai. kyunke phir differences honge, ikhtilafat honge, tarah tarah ke issues khare honge. to wahan aap ikhlas le kar khud padhenge ke main to haq par hoon. aur aap pe jo hai: antahbat aamal ko balad tanantum la tashroon ka misdaq ban jayen aap. to i
1:19:36khlas jo farq hai ke ikhlas indivdual sifat hai. aur jo jis ko main keh raha hoon aqal, us ki zaroorat padti hai ijtimaai zindagi mein. ijtimaai zindagi mein aap us ko samajh nahi paate masle ki noiyat ko. aur apne ko gadhe mein dhak kar dete hain. to antahbat aamal ko balad tanantum la tashroon ka misdaq ban jate hain. agar aap ijtimaai zindagi mein na jayen, aap ka taaluq doosron se na ho, sirf ghar mein rehte hon aap akele, to wahan par zarorat nahi wisdom ki aap ko. phir namaz roza kafi hai. lekin aap ko bohat hi sakht ek hadith hai ke Allah taala ne farishton se kaha ke jao
1:20:18falan basti ko ult do. jitne log hain, us ko talpat kar do, use dab ke mar jayen. to farishton ne kaha ke khuda ya! wahan ek buzurg hain jo raat din ibadat karte hain.
1:20:36aur woh unhon ne koi burai nahi ki hai, ibadat hi mein zindagi guzarte hain woh. to Allah taala ne kaha in ke samait ult do. yeh bohat hi ajeeb o ghareeb sochne ki baat hai yeh ke aisa buzurg jo raat din ibadat hi kar raha hai, us ke samait basti ult di gai.
1:20:56kyunke woh ikhlas tha lekin aqal nahi thi is ke paas. to yeh bohat si rais baat hai, is ko samjhiye ke aap agar yeh samjhein ke mere paas to ikhlas hai aur mere paas to namaz roza hai, to hargiz hargiz yeh kafi nahi hai.
1:21:14agar aap ijtamai zindagi mein hon, haan agar aap akele kisi kamre mein rehte hon to theek hai, tab to woh kafi hai, phir to koi harj nahi hai. jaise aap ijtamai zindagi mein aayenge, zaroor crashs paida hoga aur crashs mein aap fail ho jayen ge, agar aap ke paas aqal nahi hai to.
1:21:31agar aap ke paas aqal nahi hai to crashs mein aap fail ho jayen ge. aur fail ho kar apne ko tabah kar lenge. is waqt sare musalman jo hain, crisis mein thay aur crisis ko manage nahi kar sake, to kya hai? ek taraf aap apne ko tabah kar rahe hain. jahan chahiye musalman tabah ho rahe hain. okay, so we will end the session now.