44:31pehla sawal bheja hai zuber ahmed sahab ne muradabad se. unhone likha hai maulana sahab how does as it is thinking help a person become positive in life? dekhen quran ki jo pehli ayat hai alhamdulillah rabbul alameen. is ayat ko har musalman roz namaz mein dohrate hain.
44:52is ka matlab kya hai? is ka matlab yahi hai ke elan karta hai musalman ke i am a positive thinker. jab aap namaz mein kehte hain alhamdulillah rabbul alameen to aap dusre lafzon mein yeh keh rahe hote hain ke o allah rabbul alameen i am
45:15a positive thinker. to yeh to aap wada karte hain allah se usi ke din mein us ke khilaf. har din har namaz mein musalman yeh kehta hai ke khuda ya main kyunke dekhiye alhamdulillah kaise kahenge aap? alhamdulillah ka mani shukr.
45:33khuda ya tera shukr hai. din mein nafrat bhari hui hai. to shukr kaisa? shukr kaisa? to jab aap kehte hain alhamdulillah rabbul alameen to is mani ka aap elan kar rahe hain allah ko gawah bana kar.
45:50firishton ko gawah bana kar. ke main shukr karne wala hoon. main positive thinking wala aadmi hoon. mere dil mein hate nahi hai.
46:07to is ke is to agar aap aisa na karein to phir aap ki namaz hi namaz nahi. jaise hadith hadith mein aata hai ke namazein padhenge lekin un ki namaz kuch nahi hogi. hata la trakhash. maulana agla sawal karachi pakistan se likha hai faisal abdul sahab ne aur unhone aapse poocha