1:10:36maulana, agla sawal mr. mazhar ka hai, dilli se. unhon ne likha hai ke ramzan ke mahine mein jo masjid mein taraweeh padhai jati hai, us ka main maqsad kya hai? agar koi insaan use na parhe to kya gunaah hoga? kya taraweeh farz hai? nahin, dekhein, taraweeh na to farz hai na sunnat hai. aisa nahin hai. lekin taraweeh mein sawab hai, tareekh faida hai. taraweeh ko mein ijtimai mutaala-e-quran samajhta hoon. yaani sab mil kar bohat se log quran ka mutaala karein to woh hai taraweeh. lekin yeh taraweeh sunana to koi cheez nahin hai. taraweeh sunana koi cheez nahin hai.
1:11:25yeh woh hai ijtimai mutaala-e-quran. yaani jo parhe qari, bohat ruk ruk ke parhe, aik aik lafz sunai de aur aap ka dhyan laga rahe ke kya baat kahi gayi. us us tukre mein jo taraweeh mein padha gaya, farz kiye ke log samajh nahin sakte to taraweeh se pehle ya taraweeh ke baad koi aalim wahan ho jo bataye ke aaj jo padha gaya, us ka kya us ka tarjuma sunaya jaye ya bataya jaye. to taraweeh bohat achhi cheez hai, lekin mo'ajza taraweeh to aik woh bhi aik rasam hai, bas rasam se zyada us ki koi haqeeqat nahin hai. maulana, agla sawal mr. niaz ahmad ka hai, jammu kashmir se. unhon ne likha hai ke aik ghair muslim ko ramzan ke bare mein kaise samjhaya jaye?