“A sect of Muslims gives a strange interpretation of 'Bashar' that does not match your explanation. They separate the Prophet from being a human like us. Please explain this.”Asked by Jameel Akhtar, Delhi
Maulana agla sawal Delhi se hai Jameel Akhtar sahib ka. unhon ne likha hai: "Musalmanon ka ek firqah bashar ki ajeeb o ghareeb taweel karta hai jo aap ki tashreeh se mil nahi khati. woh Rasool Allah ko hum jaise insan se bilkul alag karte hain. is ki wazahat karen." yeh to wohi hai jo Rasool Allah ne mana kiya tha. is se Rasool Allah ne farmaya ke la tuluni kama atat al nasara min qabl. ke nasara ne jis tarah barhaya chadhaya tha mujh ko mat barhana chadhana. wohi kar rahe hain log. sawal yeh hai ke jo nazariya bana rakha hai unhon ne us ka Quran se to koi taalluq hai nahi. ajeeb o ghareeb qism ke khud sakhtah yani daleelain nikalte hain.
ajeeb o ghareeb qism ki. koi sir na parhay is ka koi logic nahi. to aadmi jo sanjeeda ho, waqeatan Allah se darta ho, woh jab Quran ko parhay ga to bar bar woh mile gi aisi baatein us ko ke Rasool Allah hamare jaise ek bashar thay. innam ana basharun mislukum. to yeh mamla sanjeedgi ka hai. aap sanjeeda na hon aap to kuch bhi ulti baatein nikal len. mislan mein aap ko ek qissah batata hoon. aik ghair muslim thay. unhon ne kaha quran to sab jaali hi jaali is ke andar hai. matlab fraud is mein sab hai. naoozubillah. kisi ne poocha ke kaise?
kehte hain dekho yeh likha hua. jaali ka kitab la raha hai fi. jaali ka mani unhon ne jaali nikaal liya. fraud. yeh to jaali hi jaali sab hai. to dekhiye ab agar aadmi sanjeeda na ho to kuch bhi ulta seedha nikaal sakta hai. to woh log jo bashar ka matlab nikaale hue hain is ka koi talluq logic se nahin. daleel se nahin hai. to aise logon ko yahi kehna chahiye ke bhai phir se ghor karo aur lughat kya kehti hai, alfaaz kya kehte hain, context kya kehta hai is ke lihaaz se ghor karo. aur haqeeqat yeh hai ke rasool Allah agar bashar na hon to hamare model kahan se rahenge? is woh kaise rahenge? kya koi farishta hamare is woh ban sakta hai? yeh rehmat hai, yahi to rehmat hai ke aik bashar ki satah par woh woh namoona mila hum ko. bashar ki satah par. farishte ki satah pe milta to hum woh hamare namoone hi na hota woh. doctor sahib ko dena hai. doctor sahib ko.
maulana agla sawal aaya hai kolkata se doctor roshan kumar jha ka. unhon ne likha hai: "maulana sahib in spirit of islam of february two thousand fourteen issue you have written that nowhere in quran and hadith do we find anything which suggests that islam is a total system.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.