Maulana, agla sawal kya hai punay se Salman sahib ne. Unhone likha hai: "Maulana, You always display positivity and tell others also to do the same. Please tell us what is your secret formula ?" Dekhiye, Secret Formula kuch bhi nahi hai. Logon ne Allah Rab ul Alameen ko daryaft nahi kiya. Sab be khabar hain. Mere tajrube ke mutabiq koi ek bhi shakhs nahi hai musalmanon mein jis ne Allah Rab ul Alameen ko daryaft kiya ho. Yeh saare badr se aur saare masjidain jo bhare hue hain barish logon se, kuch nahi janta ke koi aadmi Allah Rab ul Alameen kya cheez hai.
Na mister janta hai, na molvi janta hai. Agar aap Allah Rab ul Alameen ko daryaft kar lein to us ke baad lazman yahi cheez paida hoti hai jis ko aap ne farmaya: Positive Thinking. Mere tajrube ke mutabiq agar koi insaan ho chupa hua kisi, to mein nahi janta us ko. Meri itni lambi umar hai, mein ne kisi ek insaan ko nahi paya. Na masjid madrasay mein, na universityon, collegeon mein. Jis ne waqai Allah Rab ul Alameen ko daryaft kiya, to Positive Thinking kahan se ayegi? To sab se pehli cheez yeh hai ke aap Allah Rab ul Alameen ko daryaft kijiye. Us ke baad lazman ayegi. Jis tarah gulab ka phool aap laiye aap ghar mein to lazman khushbu ayegi.
Yeh namumkin hai ke aap gulab ka phool laein aur khushbu na aaye. Gulab ke phool ke sath sath khushbu aati hai. Isi tarah Allah Rab ul Alameen ke sath sath lazman Positive Thinking aati hai. Maulana, agla sawal lene se pehle ek comment parhna chahenge jo ghazi pur se Taufiq Khan sahib ne likha hai. Unhone likha hai: "Maulana sahib, mein Al-Risala qari hoon.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.