Maulana Wahiduddin Khan

Origin of falsehood in community

“How does a sense of falsehood arise within a community?”Asked by Ms. Razia Siddiqui, Delhi

He answers at 1:10:56 in Realistic Approach · 4 min 51 sec

His answer, in his own words
1:10:56
maulana, agla sawal dilli se kya hai miss raziya siddiqui ne. unhon ne aap se poocha hai: "how does a sense of falsehood arise within a community؟" is ke baray mein batayein. dekhiye, yeh woh jo kaha tha woh stefire skilar ne, wohi is ka behtareen jawab hai ke paranoia. angrezi mein ek lafz hai paranoia. yani paranoia develop karta hai. paranoia ka matlab hota hai. jisko hum kehte hain persian mein padram sultan bood. mera baap badshah tha. to khud to kuch hai hi nahi.
1:11:46
baap badshah tha, us par fakhr kar rahe hain. yeh hai paranoia. yeh to jab bhi aadmi. to musalmanon ka mamla yeh hai ke ek zamana tha ke un ki hukoomatein theen, un ka empire tha. unhon ne taj mahal banaya, lal qila banaya, qutub numa banaya. ek daur tha woh. to ab to woh daur khatam ho gaya. ab to kuch bhi un ke paas nahi hai. lekin kitabein jo hamari likhi gayeen, mere nazdeek jitni kitabein likhi ja rahi theen is zamane ke, sab ne ek bohat bara yani ek bura kaam kiya apni qaum ke sath ke tareekh ke zariye unhein ubharna chaha. yani tareekh ko yaad dila kar unhein ubharna chaha. yeh main hairaan hoon ke yeh logon ke paas aqal thi ke aqal ke siwa koi aur cheez un ke dimaghon mein thi. yeh guzri hui tareekh se aap kisi qaum ko ubharein ge to kya paida hoga?
1:12:40
yani false pride aaye ga. sare musalman is zamane ke jo hain, jo leader hain, jo leader hain, jo kitabein likhein, mujhe kisi ka exception nahi maloom ke mazi ki jo azmatein hain, us ko yaad dila kar ke unhein ubharna. is se to false pride paida hoga. wohi paida hua. to musalmanon mein jo paranoic character hai, woh is ke zimmedar yahi muslim rehnuma, muslim writer aur muslim mustahiqeen hain. aap musalmanon ki jo bhi kitab le ke padhiye, sab mein wohi mazi ki azmatein bayan ki jayengi. hum yeh thay, hum woh thay. hum yeh thay, hum woh thay. hum hi thay, yani kya hai woh, hum hi chhaye hue thay sharq se ta gharb duniya mein.
1:13:36
hum hi chhaye hue thay sharq se ta gharb duniya mein. na tha pala kisi muslim ka duniya mein gira hum se. to yahi cheez hai ke woh azmat jo chali gayi, us ko yaad dila kar ke aap unhein chahte hain, unhein revive karna. to is se koi positive soch nahi aayegi. is se false pride aayega. wohi aa gaya musalmanon mein. is ke zimmedar wohi log hain jinhon ne is zamane mein musalmanon ko qadeem tareekh yaad dila kar ke unhein dobara ubharna chaha. koi shayar ne kaha tha ke: "hudaira nawara talakh termiden chazooq naghma kamyabi hudaira teez tar mikhana cho mahmal na garan bini." yahi sab cheez hai jis ne musalmanon ko yeh halat kar rakhi hai.
1:14:29
yani jo musalman paranoic character ban gaye, is ki zimmedari khud un par nahi hai. un ke rehnumaon par hai. jinhon ne mamle ko samjhe baghair ek galat rehnumai deen unhein. okay, we will end this session now . thank you.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.