Prophet Ibrahim's training of Hajar and Ismail
“How did Prophet Ibrahim train Hajar and Ismail in times of difficulties?”Asked by Maulana Iqbal Umari, Chennai
He answers at 48:21 in Divine Help · 2 min 31 sec
48:21Maulana agla sawal Chennai se hai. Maulana Iqbal Umri ka. Unhon ne likha hai: Maulana Ibrahim aleh salam ne Hajra aur Ismail ki tarbiyat kaise ki? Mushkilat mein daal kar ya favor de kar? Maulana aaj mission ke liye kon si qurbani ki zaroorat hai? Is
48:43ke bare mein batayein. Dekhiye mushkilat mein daalne ki zaroorat nahi hai. Laqad khalaqnal insana hafeeqan. Mushkilat to apne aap aati hain.
49:05Yeh to doosre log hain jo is ko favor dete hain. Aap favor na diye to mushkilat hi ka process se guzre ga aadmi. Laqad khalaqnal insana hafeeqan. Insaan ko paida kiya Allah taala ne mushkilat mein, masail mein.
49:28To buri cheez yeh hai ke log favor dete hain apne bachon ko aur balkeh poori poori yani jo aaj kal jo hai Muslim empowerment. Muslim empowerment kya hai? Musalmanon ko favor dena. Main Muslim empowerment ke sakht tor par khilaf hoon.
49:50Yeh musalmanon ke sath dushmani hai. Musalmanon ko halaat ke challenge ka muqabla karne dijiye. musalmanon ko halaat ke challenge ka muqabla karne dijiye taake un ke potential jaagay. un ka jo andar jo quality Allah ne rakhi hai woh khulay.
50:13to chahe maa baap ka ghar mein jo favor dete hain apne bachon ko woh ho ya hamare leader jo musalmanon ko muslim empowerment ka favor de rahe hain yeh sab bilkul hi ghair fitri hai aur be natija hai. koi is ka natija nikalne wala nahi hai.
50:35bas halaat mein un ko halaat apne aap challenge khara karte hain. un ko halaat mein ka jo challenge pesh aaye hain un ko muqabla karne dijiye. un ki salahiyaten apne aap unfold hongi. Maulana agla sawal Islamabad Pakistan se hai.