Maulana agla sawal kya hai dilli se. Maulana zikwan nadvi ne. unhone likha hai: kuch logon ka kehna yeh hai ke ibadat aslan ek dakhili cheez hai. lekin insaan chunaanche rohani wajood ke sath ek amli wajood bhi rakhta hai is liye ibadat mein itaat
itaat alag cheez hai. itaat ka talluq samaji zindagi se hai. is samaj ke zariye se itaat ka pehlu aata hai. ibadat mein aap yeh keh sakte hain ke ek form hai is ka.
ek spirit hai aur ek form hai. ibadat mukammal taur par woh cheez hai jis ko kehte hain salat ul abdu birabbi. al ibadatu salat ur rabbi salat ul abdu birabbi. yeh sartaapsa Allah ke bande aur Allah ke darmiyan ka jo muamla hai us ka naam ibadat hai.
jo log is ki itaat shamil karte hain woh mere nazdeek woh tehreef karte hain. tafseer bil rai karte hain. natija kya hota hai ke na ibadat na itaat. aap in ko ja kar ke in ke sath ek mahina rakhiye yeh jo aisi baatein karte hain na.
mein aise bohat se logon ko jaanta hoon qareeb se jo isi wali boli bolte hain. unke haan na ibadat hai na itaat. sirf kehne ki baatein hain. stage par khare ho ke bolenge.
kitabein likhenge. haqeeqat mein kuch bhi nahi. kyunke nature se hatenge to rootless ho jayenge aap. unnatural baat kahenge to kuch bhi nateeja nahi niklega.
to mere nazdeek itaat jo hai iska talluq samajhi talluqat se hai. aur ibadat jo hai iska talluq bande aur Khuda ke darmiyan jo talluq hai us se hai. Maulana inka ek aur sawal hai. unhone likha hai ke Quran ke chapter nine verse number one twenty two mein bataya gaya hai
ke kuch logon ko deen mein tafaqqah hasil karna chahiye taake woh inzaar ka kaam kar saken. Maulana woh Maulana isko wazeh karein ke tafaqqah aur inzaar mein kya talluq hai. is par to hamara ek article chhap chuka hai. Arsalay mein. khaas is aayat par.
liya tafaqqah fiddeen. is aayat ke baray mein maine apni tafaseer bhi likha hai. Tazkir ul Quran mein. is ke ilawa arsala jo monthly magazine hai hamara hai.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.