Maulana agla sawal Miss Razia ne kiya hai Jamia Millia Islamia se. unhon ne likha hai: Maulana sahib yeh kaha jata hai ke musalman jannat ke liye hi banaya gaya hai. wo apne gunahon ki saza pa kar अंत mein jannat mein hi dakhil kiya jaye ga. yeh baat kahan tak sahi hai? Dekhein yeh sab baatein bilkul baseless hain.
aur baad ke zamane mein banayi gayi hain. jannat musalmanon ke liye nahi banayi gayi. yeh bilkul hi yani bilkul hi yani koi is ki base nahi hai yeh kehna ke jannat musalman on ke liye banayi gayi hai.
jannat banayi gayi hai buzka shakhsiat ke liye. yani purefied soul ke liye. jo log yeh daawa karein ke jannat banayi gayi hai musalmanon ke liye wo khud hi khud jo chahein kehein. quran hadith mein to aisa kuch likha hua nahi hai.
aadmi apne munh se jo chahe boley. is ki to aazadi hai insaan ko. lekin quran mein to yahi likha hua hai ke zaalika jaza'a muntazakah. ke jannat banai gayi hai is insaan ke liye jo apna tazkiyah karey.
yaani apne aap ko purify karey. bazka shakhsiyat ke liye. yeh kahin nahi hai quran o hadith mein ke jannat banai gayi hai musalman ke liye. yeh bilkul hi baseless baat hai.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.