Knowledge increases closeness to God
“You said in the previous class that the more knowledge increases, the closer one comes to God. Please explain this.”Asked by Jameel Akhtar, Delhi
He answers at 1:20:12 in Divine Help · 5 min 23 sec
1:20:12maulana agla sawal dilli se hai. jameel akhtar sahab ka. unhon ne likha hai: aap ne pichli class mein kaha tha ke jitna ilm barhta hai khuda se utna hi ta'alluq paida hota hai.
1:20:32magar carl marx, darwin aur einstein waghera logon ne jitna parha utna hi behkey. is ke baray mein kuch? dekhein yeh baat sahi nahi hai. carl marx ne kya parha tha? maine likha apni kitaab mein. carl marx ne sab se zyada parha tha akhbari reporton ko.
1:20:51woh jo lauzan jata tha library mein akhbari reportein parhta tha. is ki jo kitaab hai the house capital is mein akhbari reporton par sara nazariya bana rakha hai is ne. jis ko ilm kaha jata hai ilm woh cheez nahi zyada nahi parhi thi marx ne. doosri baat yeh hai ke sincerity bohat zaroori hai.
1:21:11parhna kya koi bhi cheez mein sincerity shart hoti hai. agar aap parhnay mein sincere honge to nateeja sahi nikley ga. nahi to kuch bhi ulta nateeja nikaal lenge. parhne ke sath sath lazmi baat hai sincerity.
1:21:30lazmi baat hai sincerity. mein nahin manta ke darwin ne bohat ziyada parha. yeh bhi mein nahin manta ke marx ne ziyada parha. darwin ne kiya kiya? woh aik kashti ke zariye us ne kai saal tak samandar ke kinare safar
1:21:50kiya aur jo woh woh namoonay jama kiye us se nazariya banaya us ne. mein nahin manta ke gehra mutala kiya tha darwin ne. mein yeh bhi nahin manta ke gehra mutala kiya tha marx ne. is ke bawajood mein kahoon ga ke agar koi shakhs gehra mutala kare tab bhi sincerity shart hogi.
1:22:10sincerity ke baghair aadmi dekhen gehra mutala karne ke mein woh batata hoon. jab bhi aap gehra mutala karein ge to bar bar aise baatein samne aayengi jo aap ke nazariye ko radd kar rahi hongi. wahan aap ko manna chahiye.
1:22:29aur log mante nahin. bar bar aisa hota hai ke aap ko aisi cheezein samne aati hain ke woh aap ke nazariye ko radd kar rahi hoti hain. lekin is ko aap nazar andaz kar ke aage barh jate hain.
1:22:49khud darwin ne etiraf kiya hai ke us ko aisi misalein samne aati theen jis ko us ne ignore kiya. aur aakhir mein us ke jo jo us ka aakhri zamanay hain aakhri ayyam jo us ki zindagi hain us ko aap parhiye. us ko bohat ziyada repentance tha ke mein ne sahi tor par pesh nahin kiya haqaiq fitrat ko.
1:23:08woh mara bohat hi yani is mein frustration mein. to do baatein mein arz kar raha hoon. aik baat yeh hai ke sahi maano mein gehra mutala bohat hi kam karte hain log. bohat hi kam karte hain.
1:23:28dusri baat yeh hai ke agar koi gehra mutalea karta hai tab bhi us ke liye tayyar nahi hota ke haqeeqatan us ke mind ko radd karen to woh maan le woh. maanta hi nahi hai. main ne us ki ek misaal di hai barn arsal ke baray mein ke us ne kafi mutalea kiya tha.
1:23:48main maanta hoon ke us ne mutalea kafi kiya tha. lekin us ke us ka ek misaal main ne di hai ke us ke samne yeh aya yeh waqea ke kainat mein design hai. yeh waqea samne aya us ke.
1:24:07to Where there is design does designer is se argument of design jo hai sabit hota hai. lekin us ne kiya keh diya ek jumla bol kar ke ke darwinism ne is ko destroy kar diya hai. halankeh bilkul galat baat hai. darwin kaise destroy karega? darwinism itself is a miracle theory.
1:24:27It is not a proved theory. to destroy kaise kar dega woh? ise aap samajh sakte hain ke ke agarcheh barn arsal ne bohat parha lekin woh sincere nahi tha. jahan us ke us ka nazariya kat raha tha kyunke woh khuda ko nahi manta tha woh.
1:24:46to wahan ek farzi ek statement de kar us ko apne ko yani ignore kiya us ko us ne. yeh main ne likha aap parh lijie is ko. ke woh mutale se yahan tak pohancha woh ke kainat mein design hai. aur bilkul it is but natural ke Where there is design there is designer.
1:25:06to maanta hai ke argument from design jo hai in principle sahi hai. us ke baad kehta hai ke magar darwinism ne is ko destroy kar diya. ab us ko yeh maanna chahiye tha ke darwinism itself koi proved theory nahi hai. woh to miracle theory hai.
1:25:26kaise destroy kar di gayi woh? yeh mamlaat itne saada nahi hain. yeh bohat hi bohat hi nazuk mamlaat hain yeh. Maulana agla sawal lainay say pehlay aik comment parhna chahengay jo Doha Qatar say Maulana Abdul Basit Umri