Protesting small matters to protect worship
“Many Muslims say that if we do not protest over small matters, then our prayers and fasting will also be objected to.”Asked by ڈاکٹر سفینہ تبسم, اجمیر
He answers at 52:21 in Spirit of the Age · 2 min 47 sec
52:21maulana, agla sawal doctor safeena tabassum ne bheja hai ajmer se, aur unhon ne likha hai: maulana sahib, bohat musalmanon ka yeh kehna hai ke agar hum choti choti baaton par protest nahi karenge to hamare namaz roze par bhi eteraz hone lagega. un logon ko kya kaha jaye, is ke baray mein batayein.
52:41yeh to aik jhoota, aik jhoota yani jhoota doubt hai, baseless doubt hai. yeh yahi to main keh raha hoon bar bar ke musalmanon ki ghalti hai ke woh isi speed of age ko jante nahi. kabhi namumkin hai ke aap ki namaz roze par record dali jaye.
53:02duniya mein kahin bhi record nahi hai. record jo hai, aap ke nuisance par hai, aap ke violence par hai ke masjidon mein is kiya aaj kal ho raha hai ke jume ke din ekatha hote hain to masjidon mein nafrat ki taqreerein hoti hain ke dushman hain, unhein humein, unhein hum yeh karna hai, woh karna hai.
53:22to yeh cheez buri hai. nafrat namaz nahi buri hai. koi duniya mein aisa nahi hai jo namaz ko roke. jo roke ga, wohi ke aap aisi baat karte hain jo zamane ke khilaf ho, yani tashaddud ki
53:42baat, nafrat ki baat. yeh bilkul jhoote sarapa jhoot hai yeh kehna ke namaz ko rokeinge. is ki koi asal nahi hai. bilkul jhooti baat hai.
54:02main ne kitni baar gaya hoon, main church mein gaya hoon, mandir mein gaya hoon, namaz ka waqt hoga, logon ne khoob kaha aaj namaz padhiye. khare khare hotay hain ehtram ke liye. aik martaba qissa likha tha mein ne risalay mein ke parvaram shastri ka program tha chapati par bombay
54:23mein, aur bohat bara majma tha wahan. to bohat ooncha pandal laga hua tha. to maghrib ka waqt ho gaya. to mein ne kaha ke maghrib ka waqt ho gaya hai.
54:43to unhon ne kaha ke aap yahin parhiye, yahin parhiye pandal par. to unhon ne apni taqreer rok di. aur mein ne sab ke samne, lakhon aadmi thay, wahi pandal, ooncha pandal tha, woh khare ho kar namaz parhi. yeh jhooti baat hai yeh.
55:03yeh to jhooti baat hai. maulana, agla sawal jamshed pur se bheja hai abdul sahib ne, aur unhon ne likha hai: maulana sahib, I