Maulana Wahiduddin Khan

Spreading mission despite seminary limitations

“There are many people who have been studying your books for a long period and want to spread your mission, but in the current religious seminaries it is not possible.”Asked by Muhammad Tauseef Qasmi, Saharanpur

He answers at 55:21 in Paradise · 3 min 42 sec

His answer, in his own words
55:21
ji Maulana, agla sawal Saharanpur se kiya hai Muhammad Tauseef Qasmi sahab ne, aur unhone likha hai: "Maulana, kai aise log hain jo lambe period se aap ki kitabon ka mutala kar rahe hain aur aap ke mission ko phailana chahte hain, magar maujooda deeni madaris mein yeh mumkin nahi hai. Maulana, aap kuch advice dein." Nahi, nahi, deeni madaris mein koi nahi mumkin hai.
55:44
main bhi deeni madaris mein parha hua hoon. yeh main samajhta hoon ke sahi baat nahi hai. aap chahe deeni madaris hon ya secular idare hon, kahin bhi hon, kaam karne ke awqaat har ek ke liye hote hain, woh kar sakta hai.
56:07
yeh main is ko is uzr ko main nahi manta kyunke mujhe khud bhi tajurba hai deeni madaris ka. Maulana, agla ek ek baat bataoon aap ko. ek qissa ek deeni madarse ka jahan mashhoor hai ke hamari kitabein wahan mana karte hain, par woh bante hain. ek ek bada deeni madrassa toh ek sahab, un ka naam hai Jan Muhammad, woh woh angrez hain,
56:29
woh woh paida hue England mein, un ka naam tha woh Jan Butt. kya naam tha bhai? Jan Butt. Jan Butt, un ka naam tha Jan Butt. phir un ko Islam ka mutalba kiya aur Islam qabool kar liya unhone.
56:52
to apna naam rakh diya unhon ne jaan muhammad. to jis madrase mein, usi madrase mein parhte the woh, to woh hamari kitabein le kar ke bahar baithte the, woh bechte the kitabein. yani bechne ki ek shakal thi, logon ko dete the.
57:15
to kisi ne kaha ke yahan to in kitabon ko be amanat hai, yeh kitabein jo aap likh bethe hain. to unhon ne kaha ke bhai, main to aap jante hain ke main yeh india ka aadmi nahi hoon, bahar ka aadmi hoon, mere paas koi aamdani ka zariya nahi hai, to isi ko bech kar ke kaam chalta hoon.
57:38
to kya aap chahte hain ke mera kaam na chale? main faqeer ban kar rahoon? to to aap aap hi be intezam kar dijiye. to sab chup ho gaye. to pata hai, har cheez ko aap baans kar sakte hain.
58:01
woh sahib maujood hain, woh rehte hain, ab aaj kal jalalabad mein rehte hain, woh jaan muhammad sahib kab ke aate hain yahan par. to aap art of management seekhein. you have to learn the art of management.
58:23
kisi bhi situation mein aap hon, wahan manage karna mumkin hota hai. aap manage karna seekhein. jab unhon ne apne case ko yeh dikhaya ke main in ka مبلغ nahi hoon, main to apna rozi roti ke liye kar raha hoon, to logon ko woh zehan badal gaya.
58:46
unhon ne kaha theek hai, apna kijiye aap. to main samajhta hoon ke chahe deeni madrassa ho ya koi jagah ho, har cheez manageable hoti hai. wohi karna chahiye aadmi ko. maulana, agla sawal miss ayesha khan ne kiya hai kanpur se, aur unhon ne likha hai: "maulana sahib,
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.